aao
aao
tumhāre saare jhuuT
do pal ke liye sach maan leñ
aur tumhārā naam
sachchī tārīḳh kā ek hissa banā deñ
lekin tab bhī to yahī ḳhadsha hai
ki ek aur jhūTe tārīḳh-dān ko
bhī sachchā mānñā paḌegā
kyā yuuñ
mere jhuuT ko taslīm karne kā
ek silsila shurūa ho kar
mujhe tumhārī saf meñ
shāmil nahīñ karegā
nahīñ aisā ho saktā
maiñ tumhāre jhuuT se baġhāvat kar saktā huuñ
lekin
sach meñ lipTe jhuuT kā
sāmnā nahīñ kar saktā
aao
tumhaare sare jhuT
do pal ke liye sach man len
aur tumhaara nam
sachchi tariKH ka ek hissa bana den
lekin tab bhi to yahi KHadsha hai
ki ek aur jhuTe tariKH-dan ko
bhi sachcha manna paDega
kya yun
mere jhuT ko taslim karne ka
ek silsila shurua ho kar
mujhe tumhaari saf mein
shamil nahin karega
nahin aisa ho sakta
main tumhaare jhuT se baghawat kar sakta hun
lekin
sach mein lipTe jhuT ka
samna nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.