aao hum raqs karen
aao ham raqs-kunāñ shahr-e-tilismāt meñ jazbāt ke rañgoñ
se zamāne kī nigāheñ bhar deñ
aao ham raqs kareñ
ham vo kirdār haiñ jo
ka.ī sadiyoñ kā safar kaaT ke aa.e haiñ yahāñ
sabz jhīloñ pe ayaañ aks hamāre hī to haiñ
aao ḳhvāboñ ko kisī lai meñ pirote haiñ ġhazal kahte haiñ
jis meñ hoñ dard sabhī
ham haiñ gum-gashta sadāoñ ke ḳhazīne jo kabhī
in fazāoñ meñ hue dafn jahāñ
devtāoñ ne ka.ī hijr ke tūfāñ phūñke
ham ne gumnām zamānoñ kī haiñ fasleñ oḌhīñ
ham ne kohsāroñ pe naġhmāt bikhere haiñ ka.ī
ham parindoñ kī zabāñ jānte the
ham mohabbat kī azaañ dete the
ham ne tāroñ ko ziyā-bār kiyā
kyā tumheñ yaad hai ham ne bhī kabhī vasl piyā
vaqt ne pyaas utārī ham par
dasht-dar-dasht sulagtī huī aahoñ ko mujassam kar ke
ham ne hamvār kiye the raste
ham bhī taqsīm hue lahjoñ meñ
dāstānoñ meñ sarakte hoī lafzoñ meñ hamārī rūheñ
gūñjte gūñjte anjām talak aa pahuñcheñ
haath se haath milāo ab to
saañs se saañs jalāo ab to
kyuuñ gurezāñ ho qarīb aane se
aao ab raqs-kunāñ ishq kī takmīl kareñ
aao hum raqs-kunan shahr-e-tilismat mein jazbaat ke rangon
se zamane ki nigahen bhar den
aao hum raqs karen
hum wo kirdar hain jo
kai sadiyon ka safar kaT ke aae hain yahan
sabz jhilon pe ayan aks hamare hi to hain
aao KHwabon ko kisi lai mein pirote hain ghazal kahte hain
jis mein hon dard sabhi
hum hain gum-gashta sadaon ke KHazine jo kabhi
in fazaon mein hue dafn jahan
dewtaon ne kai hijr ke tufan phunke
hum ne gumnam zamanon ki hain faslen oDhin
hum ne kohsaron pe naghmat bikhere hain kai
hum parindon ki zaban jaante the
hum mohabbat ki azan dete the
hum ne taron ko ziya-bar kiya
kya tumhein yaad hai hum ne bhi kabhi wasl piya
waqt ne pyas utari hum par
dasht-dar-dasht sulagti hui aahon ko mujassam kar ke
hum ne hamwar kiye the raste
hum bhi taqsim hue lahjon mein
dastanon mein sarakte hoi lafzon mein hamari ruhen
gunjte gunjte anjam talak aa pahunchen
hath se hath milao ab to
sans se sans jalao ab to
kyun gurezan ho qarib aane se
aao ab raqs-kunan ishq ki takmil karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.