aap-biti
zamāne ke sahrā meñ galle se bichhḌī huī bheḌ
tanhā pashemāñ hirāsāñ hirāsāñ
ummīd o mohabbat kī ik jot āñkhoñ meñ apnī jagā.e
har ik rāh-rau kī taraf dekhtī hai
ki in meñ hī shāyad koī mere galle kā bhī pāsbāñ ho
magar is bayābāñ meñ shāyad sarāb aur parchhā.iyoñ ke sivā
kuchh nahīñ hai
mujhe kaun siine se apne lagā.e
ki iisā to muddat huī āsmānoñ meñ gum ho chuke haiñ!
zamane ke sahra mein galle se bichhDi hui bheD
tanha pasheman hirasan hirasan
ummid o mohabbat ki ek jot aankhon mein apni jagae
har ek rah-rau ki taraf dekhti hai
ki in mein hi shayad koi mere galle ka bhi pasban ho
magar is bayaban mein shayad sarab aur parchhaiyon ke siwa
kuchh nahin hai
mujhe kaun sine se apne lagae
ki isa to muddat hui aasmanon mein gum ho chuke hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.