aap-biti
man kī baat kahī na jaa.e
man kī baat kahī na jaa.e
man kā bhed kahūñ kyā un se
lab tak aakar rah jaatā hai
un se jo shikva hai mujh ko
ashkoñ meñ hī bah jaatā hai
kaun hai mujh ko jo samjhā.e
man kī baat kahī na jaa.e
kyūñkar bolūñ un se sajnī
kaisī guzrīñ merī rāteñ
kitnā phīkā sāvan biitā
kitnī suunī thiiñ barsāteñ
nainan dukh ke niir bahā.e
man kī baat kahī na jaa.e
ik pal chain na pā.ūñ un bin
yaad aate haiñ jāgte sote
din biite hai aaheñ bharte
raat kaTe hai rote rote
jiine se ab jī ghabrā.e
man kī baat kahī na jaa.e
yaad nahīñ rahtī haiñ bāteñ
prem meñ hosh bhī kho detī huuñ
kahtī huuñ kah dūñgī sab kuchh
jab aate haiñ ro detī huuñ
dil kī dil hī meñ rah jaa.e
man kī baat kahī na jaa.e
man ki baat kahi na jae
man ki baat kahi na jae
man ka bhed kahun kya un se
lab tak aakar rah jata hai
un se jo shikwa hai mujh ko
ashkon mein hi bah jata hai
kaun hai mujh ko jo samjhae
man ki baat kahi na jae
kyunkar bolun un se sajni
kaisi guzrin meri raaten
kitna phika sawan bita
kitni suni thin barsaten
nainan dukh ke nir bahae
man ki baat kahi na jae
ek pal chain na paun un bin
yaad aate hain jagte sote
din bite hai aahen bharte
raat kaTe hai rote rote
jine se ab ji ghabrae
man ki baat kahi na jae
yaad nahin rahti hain baaten
prem mein hosh bhi kho deti hun
kahti hun kah dungi sab kuchh
jab aate hain ro deti hun
dil ki dil hi mein rah jae
man ki baat kahi na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.