aap kaun
ajiib sī ye baat hai
ki jo mirā yaqīn thā
jo tapte rāstoñ meñ mere vāste guloñ kī sar-zamīn thā
ki jo mirā gumān thā
jo abr thā mire liye jo merā āsmān thā
jo merī ibtidā thā aur mirā jo iḳhtitām thā
jo merī sub.h-e-zindagī jo merā āsmān thā
azal se jo abad talak vafā kā sā.ebān thā
bahut hī mehrbān thā
jo markaz-e-nigāh thā
jo merī bārgāh thā
vo ek din milā mujhe bahut hī tez dhuup meñ
ik ajnabī ke ruup meñ
vo hijr meñ base hue se māh-o-sāl de gayā
chalā gayā magar mujhe vo ik savāl de gayā
maiñ sochtī huuñ aaj bhī
rukā thā sun ke chaap kaun
jo kah rahā thā aap kaun
ajib si ye baat hai
ki jo mera yaqin tha
jo tapte raston mein mere waste gulon ki sar-zamin tha
ki jo mera guman tha
jo abr tha mere liye jo mera aasman tha
jo meri ibtida tha aur mera jo iKHtitam tha
jo meri subh-e-zindagi jo mera aasman tha
azal se jo abad talak wafa ka saeban tha
bahut hi mehrban tha
jo markaz-e-nigah tha
jo meri bargah tha
wo ek din mila mujhe bahut hi tez dhup mein
ek ajnabi ke rup mein
wo hijr mein base hue se mah-o-sal de gaya
chala gaya magar mujhe wo ek sawal de gaya
main sochti hun aaj bhi
ruka tha sun ke chap kaun
jo kah raha tha aap kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.