aara machine ka karigar
sub.h se shaam tak
lakḌiyāñ chīrnā
us kā barsoñ kā ma.amūl hai
us kā jism
lakḌī ke burāde meñ
dafn hone lagā hai
use roTī bhī
burāde kī banī huī lagtī hai
us ke haath biivī ko
sūkhe daraḳht kī tarah mahsūs karte haiñ
lakḌiyoñ ke darmiyān rahte rahte
vo
ḳhud ko bhī
lakḌī kā aadmī samajhne lagā hai
vaqt guzarne ke saath saath
us kā ye ḳhayāl mazbūt hotā jaatā hai
aur ek din
aarā machine bhī
is se muttafiq ho jaatī hai
subh se sham tak
lakDiyan chirna
us ka barson ka mamul hai
us ka jism
lakDi ke burade mein
dafn hone laga hai
use roTi bhi
burade ki bani hui lagti hai
us ke hath biwi ko
sukhe daraKHt ki tarah mahsus karte hain
lakDiyon ke darmiyan rahte rahte
wo
KHud ko bhi
lakDi ka aadmi samajhne laga hai
waqt guzarne ke sath sath
us ka ye KHayal mazbut hota jata hai
aur ek din
aara machine bhi
is se muttafiq ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.