aaraf
tum is zamīñ ko zamīñ hī rahne do
sab shayātīn ko farishtoñ ko ḳhatm kar do
zamīñ jahannum kā aur jannat kā maz.har-e-ishtirāk hai
ye ki ik hasīñ imtizāj hai jis meñ pyār-o-ulfat ke
mīThe chashme bhī nafratoñ ke ubalte ātish-fishāñ bhī
gul bhī haiñ ḳhaar bhī gulistāñ bhī haiñ regzār bhī haiñ
bulandiyāñ bhī haiñ pastiyāñ bhī haiñ
dhuup chhāñv kā raat din kā tazād bhī hai
yahāñ ki haiñ dil-ḳharāsh chīḳheñ bhī ronā-dhonā bhī
aur ḳhushiyoñ ke chand naġhme bhī
saarī dhartī ke log aise hī
rukte chalte haiñ rote hañste haiñ
āsmāñ kī karāmatoñ ko bhī
apne hone ke almiye ko bhī jhelte haiñ
zamīn ik marhala-e-taḳhlīq-e-kā.enātī gunāh-e-lāzim
yā shahr-e-azdād ho bhī saktī hai kaun jaane
magar ye sach hai ki dilkashī aur husn
dhartī kī fitrī hai.at meñ hī milegā
ye āsmānī kitābeñ chhoḌo
zamīn jannat na ban sakegī
zamīñ jahannum na ban sakegī
zamīñ kī ā'rāfī haisiyat meñ hī us kī azmat bhī muḳhtafī hai
tum is zamīñ ko zamīñ hī rahne do
tum is zamin ko zamin hi rahne do
sab shayatin ko farishton ko KHatm kar do
zamin jahannum ka aur jannat ka mazhar-e-ishtirak hai
ye ki ek hasin imtizaj hai jis mein pyar-o-ulfat ke
miThe chashme bhi nafraton ke ubalte aatish-fishan bhi
gul bhi hain KHar bhi gulistan bhi hain regzar bhi hain
bulandiyan bhi hain pastiyan bhi hain
dhup chhanw ka raat din ka tazad bhi hai
yahan ki hain dil-KHarash chiKHen bhi rona-dhona bhi
aur KHushiyon ke chand naghme bhi
sari dharti ke log aise hi
rukte chalte hain rote hanste hain
aasman ki karamaton ko bhi
apne hone ke almiye ko bhi jhelte hain
zamin ek marhala-e-taKHliq-e-kaenati gunah-e-lazim
ya shahr-e-azdad ho bhi sakti hai kaun jaane
magar ye sach hai ki dilkashi aur husn
dharti ki fitri haiat mein hi milega
ye aasmani kitaben chhoDo
zamin jannat na ban sakegi
zamin jahannum na ban sakegi
zamin ki aa'rafi haisiyat mein hi us ki azmat bhi muKHtafi hai
tum is zamin ko zamin hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.