aarzu bahaaron ki
ai āḳhir-e-shab ke māh-pāro
mujhe bhī tum apne saath le lo
ki dasht-e-tanhā.ī meñ ġhamoñ kī
fasīl par maiñ khaḌā huuñ tanhā
khaḌā huuñ aur tak rahā huuñ un
be-karāñ añdheroñ meñ jaane kab se
ki āḳhir-e-shab koī musāfir
bhaTak ke rāh-e-tarab se aa.e
kuchh us galī kā pata batā.e
ki jis meñ TuuTe haiñ merī chashm-e-umīd
se ārzūoñ ke taare
jinheñ añdheroñ ne Das liyā thā
jo raushnī ke payāmbar the
batā.e mujh ko ki ab vo chashm-e-tarab
kahāñ hai kis haal meñ hai
ki jis kī ḳhātir jalā.e haiñ
hasratoñ ke kitne charāġh ham ne
magar vo zulm-o-sitam kī āñdhī
jo dast-e-insāñ se chhīn letī hai
chand roza hayāt ke din
aur is ke badle meñ baḳhsh detī hai
bhūk-o-iflās o pyaas ke din
vo bhuuk aur pyaas jis ke sho.aloñ meñ
an-ginat jism phuñk rahe haiñ
ye nange bhūke bilakte bachche
ki jin kī āñkhoñ se ris rahā hai
urūj-e-insāniyat kā paanī
sunahre sikkoñ ke Dher
jin par
vo lothaḌe gosht ke jo baiThe haiñ
ban ke ajgar
unheñ uThāo
uThā ke khetoñ meñ dafn kar do
ki un kī ik musht ḳhaak
insāniyat kī khetī meñ kaam aa.e
ki zindagī un kī ek nāsūr hai
zamāne ke jism-o-jāñ par
sunahre sikkoñ ke Dher
ban jaa.eñ bāliyāñ
jau kī gehūñ kī chāvaloñ kī
ye bāliyāñ
phir kisī ke kānoñ meñ jhilmilā.eñ
ye chāñd ban kar
vatan ke māthe pe jagmagā.eñ
ai aaKHir-e-shab ke mah-paro
mujhe bhi tum apne sath le lo
ki dasht-e-tanhai mein ghamon ki
fasil par main khaDa hun tanha
khaDa hun aur tak raha hun un
be-karan andheron mein jaane kab se
ki aaKHir-e-shab koi musafir
bhaTak ke rah-e-tarab se aae
kuchh us gali ka pata batae
ki jis mein TuTe hain meri chashm-e-umid
se aarzuon ke tare
jinhen andheron ne Das liya tha
jo raushni ke payambar the
batae mujh ko ki ab wo chashm-e-tarab
kahan hai kis haal mein hai
ki jis ki KHatir jalae hain
hasraton ke kitne charagh hum ne
magar wo zulm-o-sitam ki aandhi
jo dast-e-insan se chhin leti hai
chand roza hayat ke din
aur is ke badle mein baKHsh deti hai
bhuk-o-iflas o pyas ke din
wo bhuk aur pyas jis ke shoalon mein
an-ginat jism phunk rahe hain
ye nange bhuke bilakte bachche
ki jin ki aankhon se ris raha hai
uruj-e-insaniyat ka pani
sunahre sikkon ke Dher
jin par
wo lothaDe gosht ke jo baiThe hain
ban ke ajgar
unhen uThao
uTha ke kheton mein dafn kar do
ki un ki ek musht KHak
insaniyat ki kheti mein kaam aae
ki zindagi un ki ek nasur hai
zamane ke jism-o-jaan par
sunahre sikkon ke Dher
ban jaen baaliyan
jau ki gehun ki chawalon ki
ye baaliyan
phir kisi ke kanon mein jhilmilaen
ye chand ban kar
watan ke mathe pe jagmagaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.