aarzu-e-bahaar
ishq tum se hai pyaar tum se hai
zindagī meñ bahār tum se hai
tum hī tum ho mire ḳhayāloñ meñ
zehn bhī lāla-zār tum se hai
ghar kā āñgan ho yā ki ho sahrā
har taraf ik nikhār tum se hai
tum se haT kar nahīñ hai kuchh bhī yahāñ
ziist kā e.atibār tum se hai
chāñdnī ho ki ho shab-e-furqat
har ghaḌī sāzgār tum se hai
'shauq' kī ho ġhazal yā giit koī
zindagī kā ḳhumār tum se hai
ishq tum se hai pyar tum se hai
zindagi mein bahaar tum se hai
tum hi tum ho mere KHayalon mein
zehn bhi lala-zar tum se hai
ghar ka aangan ho ya ki ho sahra
har taraf ek nikhaar tum se hai
tum se haT kar nahin hai kuchh bhi yahan
zist ka eatibar tum se hai
chandni ho ki ho shab-e-furqat
har ghaDi sazgar tum se hai
'shauq' ki ho ghazal ya git koi
zindagi ka KHumar tum se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.