aarzu ki thakan
dard chaukhaT pe hañstā huā muskurātā huā jab milā
to ḳhushī duur jangal meñ shashdar rahī
darmiyānī ḳhalā kā ta'ayyun
kahīñ par bhī mumkin nahīñ
phir bhī ham jaane kyoñ
terī āvāz kī ik lahar ko taraste rahe
ham kahīñ duur maidān meñ
apnī uñglī pakaḌ kar tumhāre taraf jab chale
to sarāboñ kī vahshat-zada chīḳh āñkhoñ meñ chubhtī rahī
ham ulajhtī huī ārzūoñ kā vo rog haiñ
jin ko puure na hone kā ġham khā gayā
dard chaukhaT pe hansta hua muskuraata hua jab mila
to KHushi dur jangal mein shashdar rahi
darmiyani KHala ka ta'ayyun
kahin par bhi mumkin nahin
phir bhi hum jaane kyon
teri aawaz ki ek lahar ko taraste rahe
hum kahin dur maidan mein
apni ungli pakaD kar tumhaare taraf jab chale
to sarabon ki wahshat-zada chiKH aankhon mein chubhti rahi
hum ulajhti hui aarzuon ka wo rog hain
jin ko pure na hone ka gham kha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.