aarzu
mohabbat ba-nau-e-digar chāhtā huuñ
tujhī ko tirā nāma-bar chāhtā huuñ
duā be-niyāz-e-asar chāhtā huuñ
ġham-e-dil ġham-e-mo'tabar chāhtā huuñ
tamanna-e-jalva ḳhilāf-e-ḳhirad hai
magar maiñ ba-zo'm-e-nazar chāhtā huuñ
ye maanā rag-e-jāñ se nazdīk ho tum
maiñ is se bhī nazdīk-tar chāhtā huuñ
vafā aur tum ik fareb-e-vafā hai
samajhtā huuñ maiñ bhī magar chāhtā huuñ
jahāñ sirf tere hī naqsh-e-qadam hoñ
mohabbat kī vo rahguzar chāhtā huuñ
vafā.eñ tumhārī hoñ yā hoñ jafā.eñ
koī shai bhī ho mo'atabar chāhtā huuñ
mohabbat bahar-gām dushvār-tar hai
vo khiñchte haiñ maiñ jis qadar chāhtā huuñ
unheñ bhī nahīñ chāhtā muztarib maiñ
aur aahoñ ko bhī bā-asar chāhtā huuñ
mire dil kī nādāniyāñ koī dekhe
unheñ bhī ba-qadr-e-nazar chāhtā huuñ
vo āġhāz-e-ulfat vo pur-kaif lamhe
vahī fasl-e-dīvāna-gar chāhtā huuñ
tumhārī ḳhabar kyā bhalā mujh ko hogī
maiñ apnī hī tum se ḳhabar chāhtā huuñ
dil-e-bad-gumāñ har tarah mutma.in hai
magar e'tibār-e-nazar chāhtā huuñ
jahāñ mā-sivā naqsh-e-bātil hai 'naḳhshab'
usī rahguzar se guzar chāhtā huuñ
mohabbat ba-nau-e-digar chahta hun
tujhi ko tera nama-bar chahta hun
dua be-niyaz-e-asar chahta hun
gham-e-dil gham-e-mo'tabar chahta hun
tamanna-e-jalwa KHilaf-e-KHirad hai
magar main ba-zo'm-e-nazar chahta hun
ye mana rag-e-jaan se nazdik ho tum
main is se bhi nazdik-tar chahta hun
wafa aur tum ek fareb-e-wafa hai
samajhta hun main bhi magar chahta hun
jahan sirf tere hi naqsh-e-qadam hon
mohabbat ki wo rahguzar chahta hun
wafaen tumhaari hon ya hon jafaen
koi shai bhi ho mo'atabar chahta hun
mohabbat bahar-gam dushwar-tar hai
wo khinchte hain main jis qadar chahta hun
unhen bhi nahin chahta muztarib main
aur aahon ko bhi ba-asar chahta hun
mere dil ki nadaniyan koi dekhe
unhen bhi ba-qadr-e-nazar chahta hun
wo aaghaz-e-ulfat wo pur-kaif lamhe
wahi fasl-e-diwana-gar chahta hun
tumhaari KHabar kya bhala mujh ko hogi
main apni hi tum se KHabar chahta hun
dil-e-bad-guman har tarah mutmain hai
magar e'tibar-e-nazar chahta hun
jahan ma-siwa naqsh-e-baatil hai 'naKHshab'
usi rahguzar se guzar chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.