aas ki Dor mat chhoDna
baaġh meñ phailī vīrāniyoñ se pareshāñ na ho
ek din baiTh jā.egī sab dhuul uḌtī huī
tez lū ḳhatm ho jā.egī
chāhe jaisī bhī āñdhī ho tham jā.egī
saare sahme hue
peḌ paudoñ kī raunaq palaT aa.egī
har taraf phir se sabze nikal ā.eñge
phuul khil jā.eñge
Dar ke hālāt se
tum kabhī haath se
aas kī Dor mat chhoḌnā
apnī miTTī meñ ab bhī namī hai bahut
apnī miTTī se rishte ko mat toḌnā
bagh mein phaili viraniyon se pareshan na ho
ek din baiTh jaegi sab dhul uDti hui
tez lu KHatm ho jaegi
chahe jaisi bhi aandhi ho tham jaegi
sare sahme hue
peD paudon ki raunaq palaT aaegi
har taraf phir se sabze nikal aaenge
phul khil jaenge
Dar ke haalat se
tum kabhi hath se
aas ki Dor mat chhoDna
apni miTTi mein ab bhi nami hai bahut
apni miTTi se rishte ko mat toDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.