aas
shab ke āvāra-gard shahzāde
jā chhupe apnī ḳhvāb-gāhoñ meñ
paḌ ga.e haiñ gulābī Dore se
raat kī shabnamī nigāhoñ meñ
siim tan apsarāoñ ke jhurmuT
mahv-e-parvāz haiñ fazāoñ meñ
rāt-rānī kī dil-nashīñ ḳhushbū
ghul ga.ī manchalī havāoñ meñ
jhiil kī be-qarār jal-pariyāñ
aa ke sāhil ko chuum jaatī haiñ
dam-ba-dam merī Dūbtī nazreñ
terī rāhoñ pe ghuum jaatī haiñ
muntazir hai udaas pagDanDī
ek sañgīt rez aahaT kī
raah taktī haiñ adh-khulī kaliyāñ
terī ma.asūm muskurāhaT kī
jaane kitne hī rat-jage biite
ārzūoñ kī narm jānoñ par
so ga.e thak ke dard ke maare
aas kī khurdurī chaTānoñ par
shab ke aawara-gard shahzade
ja chhupe apni KHwab-gahon mein
paD gae hain gulabi Dore se
raat ki shabnami nigahon mein
sim tan apsaraon ke jhurmuT
mahw-e-parwaz hain fazaon mein
raat-rani ki dil-nashin KHushbu
ghul gai manchali hawaon mein
jhil ki be-qarar jal-pariyan
aa ke sahil ko chum jati hain
dam-ba-dam meri Dubti nazren
teri rahon pe ghum jati hain
muntazir hai udas pagDanDi
ek sangit rez aahaT ki
rah takti hain adh-khuli kaliyan
teri masum muskurahaT ki
jaane kitne hi rat-jage bite
aarzuon ki narm jaanon par
so gae thak ke dard ke mare
aas ki khurduri chaTanon par
- Book : Naqd-e-jan (Pg. 42)
- Author : Shahid Akhtar
- Publication : madhya pradesh urdu academy Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.