aaseb
mujhe Darāyā gayā thā
bachpan meñ ek aaseb se
vo āseb!
jis kā phūloñ ke biich ghar thā
vo shoḳh phūloñ kī chhāñv meñ palne vaalī ḳhushbū kā ham-safar thā
mujhe Darāyā gayā thā lekin
tavīl garmī kī har suhānī sī dopahar ko
maiñ apnī maañ kī nazar bachā kar
gulābī nīndoñ kī reshmī uñgliyāñ chhuḌā kar
dahakte phūloñ ke darmiyāñ kheltī thī pahroñ
ajiib din the
ki un dinoñ meñ
dahakte phūloñ ke biich ḳhushbū ke ham-safar se
mirī mulāqāt jab huī thī
maiñ Dar ga.ī thī
ki mujh meñ bachpan se ajnabī ḳhauf pal rahā thā
mujhe bhī aaseb ho gayā thā
magar ye āseb!
ab to mujh meñ utar rahā hai
hasīn phūloñ ke biich ḳhvāboñ ke sabz mausam meñ
us ke hāthoñ meñ haath Daale
maiñ ḳhushbuoñ kī tarah havāoñ meñ uḌ rahī huuñ
mujhe Daraya gaya tha
bachpan mein ek aaseb se
wo aaseb!
jis ka phulon ke bich ghar tha
wo shoKH phulon ki chhanw mein palne wali KHushbu ka ham-safar tha
mujhe Daraya gaya tha lekin
tawil garmi ki har suhani si dopahar ko
main apni man ki nazar bacha kar
gulabi nindon ki reshmi ungliyan chhuDa kar
dahakte phulon ke darmiyan khelti thi pahron
ajib din the
ki un dinon mein
dahakte phulon ke bich KHushbu ke ham-safar se
meri mulaqat jab hui thi
main Dar gai thi
ki mujh mein bachpan se ajnabi KHauf pal raha tha
mujhe bhi aaseb ho gaya tha
magar ye aaseb!
ab to mujh mein utar raha hai
hasin phulon ke bich KHwabon ke sabz mausam mein
us ke hathon mein hath Dale
main KHushbuon ki tarah hawaon mein uD rahi hun
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.