aashiq aur KHuda
log to mandir masjid jaa.eñ DhūñDeñ patthar sil meñ
āshiq ko rab nazar aa.e mahbūb ke kaale til meñ
kyoñ ye us ko ban ban DhūñDe kyoñ ye tīrath jaa.e
āshiq kā rab to rahtā hai ḳhud āshiq ke dil meñ
āshiq ke liye us kā mahbūb hī ḳhudā hai
donoñ ke biich ek ibādat kā silsila hai
mukammal husn koī DhūñDne ghar se chalā 'rāñjhā'
hasīnoñ kī parī ik 'hīr' se Takrā gayā 'rāñjhā'
milī nazreñ baḌhī dhaḌkan mohabbat kī kiran phūTī
phir apnī 'hīr' kī āñkhoñ kī putlī ho gayā 'rāñjhā'
ab 'hīr' hai pujāran vo us kā devtā hai
donoñ ke biich ek ibādat kā silsila hai
dabe paañv chalī 'sohnī' mohabbat ke ishāre par
use us paar jaanā hai ghaḌe hī ke sahāre par
gulābī jism ne maġhrūr lahroñ par fat.h paa.ī
lo apne yaar ke pahlū meñ aa pahuñchī kināre par
mahivāl jāntā hai sohnī ke dil meñ kyā hai
donoñ ke biich ek ibādat kā silsila hai
bahut ghabrā.ī 'sassī' jab na 'punnuñ' sej par dekhā
vo dīvānī huī dauḌī idhar pūchhā udhar dekhā
qadam ke har nishāñ par pyāsī 'sassī' ne zabāñ rakh dī
taḌap kar mar ga.ī sahrā meñ zinda dāstāñ rakh dī
ulfat kī zindagī meñ do gaz kā fāsla hai
donoñ ke biich ek ibādat kā silsila hai
āshiq ke liye us kā mahbūb hī ḳhudā hai
donoñ ke biich ek ibādat kā silsila hai
log to mandir masjid jaen DhunDen patthar sil mein
aashiq ko rab nazar aae mahbub ke kale til mein
kyon ye us ko ban ban DhunDe kyon ye tirath jae
aashiq ka rab to rahta hai KHud aashiq ke dil mein
aashiq ke liye us ka mahbub hi KHuda hai
donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai
mukammal husn koi DhunDne ghar se chala 'ranjha'
hasinon ki pari ek 'hir' se Takra gaya 'ranjha'
mili nazren baDhi dhaDkan mohabbat ki kiran phuTi
phir apni 'hir' ki aankhon ki putli ho gaya 'ranjha'
ab 'hir' hai pujaran wo us ka dewta hai
donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai
dabe panw chali 'sohni' mohabbat ke ishaare par
use us par jaana hai ghaDe hi ke sahaare par
gulabi jism ne maghrur lahron par fath pai
lo apne yar ke pahlu mein aa pahunchi kinare par
mahiwal jaanta hai sohni ke dil mein kya hai
donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai
bahut ghabrai 'sassi' jab na 'punnun' sej par dekha
wo diwani hui dauDi idhar puchha udhar dekha
qadam ke har nishan par pyasi 'sassi' ne zaban rakh di
taDap kar mar gai sahra mein zinda dastan rakh di
ulfat ki zindagi mein do gaz ka fasla hai
donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai
aashiq ke liye us ka mahbub hi KHuda hai
donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.