aashna wirson ke nam KHat
ga.e zamāne ke rāste par
pahāḌ sūraj zamīn dariyā
nuqūsh-e-pā nām-e-zāt
chehra
maiñ apne chehre se munharif huuñ
ga.e zamāne ke rāste par
sazā kī rut ke tavīl din kā ḳhatīr virsa mirā badan hai mirā lahū hai
maiñ apne virse se dast-kash huuñ
ye āshnā sub.h kā sitārā ki jis kī āgāhiyoñ kā nāsūr mere siine meñ jal rahā hai
maiñ us sitāre kī samt rū-dar-qazā khaḌā huuñ
maiñ apne bātin kī oT meñ huuñ
ye ḳhisht saa.at ki jis kī bālīñ se jism aadhā nikal ke mujh ko bulā rahā hai
use ye kahnā lahū kā hathiyār kund niklā murāja.at kī duā na māñge
use ye kahnā ki terā beTā najāt kī aarzū meñ us manzil-e-duā se guzar gayā hai
jahāñ tire ashk be-jazā the
jahāñ tirī qabr be-nishāñ hai
use ye kahnā sazā kī rut ke tavīl din meñ murāja.at kī duā na māñge
gae zamane ke raste par
pahaD suraj zamin dariya
nuqush-e-pa nam-e-zat
chehra
main apne chehre se munharif hun
gae zamane ke raste par
saza ki rut ke tawil din ka KHatir wirsa mera badan hai mera lahu hai
main apne wirse se dast-kash hun
ye aashna subh ka sitara ki jis ki aagahiyon ka nasur mere sine mein jal raha hai
main us sitare ki samt ru-dar-qaza khaDa hun
main apne baatin ki oT mein hun
ye KHisht saat ki jis ki baalin se jism aadha nikal ke mujh ko bula raha hai
use ye kahna lahu ka hathiyar kund nikla murajat ki dua na mange
use ye kahna ki tera beTa najat ki aarzu mein us manzil-e-dua se guzar gaya hai
jahan tere ashk be-jaza the
jahan teri qabr be-nishan hai
use ye kahna saza ki rut ke tawil din mein murajat ki dua na mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.