aasuda haali ke jatan
zaat kī āsūdgī ke sab jatan kartā rahūñ
tā.eroñ ke sañg uḌ kar
āsmāñ kī jhilmilātī nīlgūñ sī god meñ iḳhlās kī garmī
mohabbat kī tapish ko
har ghaḌī maiñ DhūñDhtā phirtā rahūñ
yā kabhī apne ḳhayāloñ kī ridā oḌhe
maiñ dhartī ke khule siine pe sar rakh kar
aur apnī bāñheñ us ke gard lipTāne kī koshish meñ
jahāñ bhar ke gile-shikve ghane bāloñ meñ
āñkhoñ se chhine motī samajh ke Dāltā jaayā karūñ
yā kabhī maiñ nā-rasā.ī ke samundar meñ
kisī chhoTī sī machhlī kī tarah
apne tahaffuz aur apnī zindagānī ko
ḳhushī ke ḳhūb-sūrat āsmānī saat rañgoñ ke
kisī nādīda sāñche meñ
badal dene kā aisā makr-o-fan kartā rahūñ
zaat kī āsūdgī ke sab jatan kartā rahūñ
zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun
taeron ke sang uD kar
aasman ki jhilmilati nilgun si god mein iKHlas ki garmi
mohabbat ki tapish ko
har ghaDi main DhunDhta phirta rahun
ya kabhi apne KHayalon ki rida oDhe
main dharti ke khule sine pe sar rakh kar
aur apni banhen us ke gard lipTane ki koshish mein
jahan bhar ke gile-shikwe ghane baalon mein
aankhon se chhine moti samajh ke Dalta jaya karun
ya kabhi main na-rasai ke samundar mein
kisi chhoTi si machhli ki tarah
apne tahaffuz aur apni zindagani ko
KHushi ke KHub-surat aasmani sat rangon ke
kisi nadida sanche mein
badal dene ka aisa makr-o-fan karta rahun
zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 131)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.