aatish-dan
kitnī yādeñ
jalā chukā huuñ maiñ
kitne armāñ
bujhā chukā huuñ maiñ
kursiyāñ khīñch kar mire nazdīk
apne maazī pe sochne vaale
dāstāñ bun rahe haiñ maazī kī
kaTkaTāte hue vo chilġhoze
chhīl kar muñh meñ Dālte jaa.eñ
aur sho.aloñ se khelte jaa.eñ
yaad aa.eñ jo sho.ala-rū lamhe
jhurriyoñ se aTe hue chehre
ek pal ke liye damak uTheñ
āḳhirī lau charāġh kī jaise
phir unhīñ kursiyoñ meñ dhañs jaa.eñ
band āñkhoñ se mashq karte raheñ
hashr tak gahrī niiñd sone kī
kitni yaaden
jala chuka hun main
kitne arman
bujha chuka hun main
kursiyan khinch kar mere nazdik
apne mazi pe sochne wale
dastan bun rahe hain mazi ki
kaTkaTate hue wo chilghoze
chhil kar munh mein Dalte jaen
aur shoalon se khelte jaen
yaad aaen jo shoala-ru lamhe
jhurriyon se aTe hue chehre
ek pal ke liye damak uThen
aaKHiri lau charagh ki jaise
phir unhin kursiyon mein dhans jaen
band aankhon se mashq karte rahen
hashr tak gahri nind sone ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.