aatish
dhartī ātish hai āsmāñ ātish
hai nihāñ aur kahīñ ayaañ ātish
ho charāġhāñ jale diye se diyā
kar na aise hī rā.egāñ ātish
dekh kar us kā ātishīñ chehra
ban ga.ī merī dāstāñ ātish
tab talak ham javān rahte haiñ
jab talak ham meñ hai javāñ ātish
be-dhuāñ be-sharāra be-lau bhī
phūñk detī hai be-zabāñ ātish
kitne hamdard haiñ nasheman ke
āñdhī barsāt bijliyāñ ātish
zehn meñ dil meñ ruuh meñ tan meñ
hai na jaane kahāñ kahāñ ātish
aag se aag ke bujhāne kā
falsafa kar rahī bayāñ ātish
jism ho ghar ho ban ho bastī ho
sab ko kartī hai be-nishāñ ātish
husn aur ishq meñ kashish hai tabhī
gar hai donoñ ke darmiyāñ ātish
ye kahīñ par hai chand lamhoñ kī
aur kahīñ par hai jāvedāñ ātish
zikr kyā kījiye jahannum kā
har qadam par hai jab yahāñ ātish
shuddh hai shuddh sab ko kartī hai
hai jahāñ meñ jahāñ-jahāñ ātish
dharti aatish hai aasman aatish
hai nihan aur kahin ayan aatish
ho charaghan jale diye se diya
kar na aise hi raegan aatish
dekh kar us ka aatishin chehra
ban gai meri dastan aatish
tab talak hum jawan rahte hain
jab talak hum mein hai jawan aatish
be-dhuan be-sharara be-lau bhi
phunk deti hai be-zaban aatish
kitne hamdard hain nasheman ke
aandhi barsat bijliyan aatish
zehn mein dil mein ruh mein tan mein
hai na jaane kahan kahan aatish
aag se aag ke bujhane ka
falsafa kar rahi bayan aatish
jism ho ghar ho ban ho basti ho
sab ko karti hai be-nishan aatish
husn aur ishq mein kashish hai tabhi
gar hai donon ke darmiyan aatish
ye kahin par hai chand lamhon ki
aur kahin par hai jawedan aatish
zikr kya kijiye jahannum ka
har qadam par hai jab yahan aatish
shuddh hai shuddh sab ko karti hai
hai jahan mein jahan-jahan aatish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.