aatish-e-diwar
bhūlne vaale aao phir se tajdīd-e-vafā karte haiñ
jahāñ se haath kī lakīreñ noch Daalī thiiñ
phir se un meñ rang bharte haiñ
jab Dhalne lage raat kā pahra
phir sub.h kā dam bharte haiñ
tujh ko vo pal yaad to hoñge
naġhme band āñkhoñ meñ tairte hoñge
yaad hai vo sab qahr kī ThanDī rāteñ
qaus-e-quzah ke rangoñ sī bāteñ
tasavvur-o-tasvīr banī hai taḳhlīq merī
kuchh tārīf kuchh tasdīq terī
merī bātoñ se kuchh mausam yaad aa jā.eñge
tujh ko sab mafhūm samajh aa jā.eñge
yaqīn hai mujh ko aise hī phir ik din aa milegā tū
merī tarah kuchh sulagtā sā kuchh bujhā-bujhā sā
bikhrā bikhrā udāsiyoñ meñ sisaktā sā
jhukī-jhukī āñkhoñ meñ aañsū kuchh pashemānī sī
chehre pe ḳhāmoshī Thahrī kuchh hairānī sī
zaḳhm kā ghaav jab bhar jā.egā
tab chain kahīñ aa jā.egā
tū bichhḌā thā ik zid meñ aa kar
ḳhud hī ab ātishī dīvār girā.egā
bhulne wale aao phir se tajdid-e-wafa karte hain
jahan se hath ki lakiren noch Dali thin
phir se un mein rang bharte hain
jab Dhalne lage raat ka pahra
phir subh ka dam bharte hain
tujh ko wo pal yaad to honge
naghme band aankhon mein tairte honge
yaad hai wo sab qahr ki ThanDi raaten
qaus-e-quzah ke rangon si baaten
tasawwur-o-taswir bani hai taKHliq meri
kuchh tarif kuchh tasdiq teri
meri baaton se kuchh mausam yaad aa jaenge
tujh ko sab mafhum samajh aa jaenge
yaqin hai mujh ko aise hi phir ek din aa milega tu
meri tarah kuchh sulagta sa kuchh bujha-bujha sa
bikhra bikhra udasiyon mein sisakta sa
jhuki-jhuki aankhon mein aansu kuchh pashemani si
chehre pe KHamoshi Thahri kuchh hairani si
zaKHm ka ghaw jab bhar jaega
tab chain kahin aa jaega
tu bichhDa tha ek zid mein aa kar
KHud hi ab aatishi diwar giraega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.