aawaz dil ki
ham uḳhuvvat ke pujārī ham mohabbat ke ġhulām
dostī kā kuchh hamīñ se hai jahāñ-bhar meñ bharam
maz.har-e-haq haiñ hamāre vāste dair-o-haram
ham ahinsā ke haiñ rasiyā āshtī ke ham imaam
inkisārī apnā maslak 'ājizī apnā shi'ār
dostoñ se dostī kar ke dikhā dete haiñ ham
dostī ke naam par ḳhud ko miTā dete haiñ ham
har takalluf aur tasanno' se hameñ hotā hai 'aar
nā-tavānoñ ke haiñ rakshak haq-parastoñ ke haiñ daas
zulm-o-istibdād ko jaḌ se miTā dete haiñ ham
dushmanoñ ko din hī meñ taare dikhā dete haiñ ham
hai nahīfoñ aur za’īfoñ ko hamāre dam se aas
kibr-o-naḳhvat kī kalā.ī moḌte aa.e haiñ ham
buġhz-o-nafrat kā nikaltā hai hamāre dam se dam
hum uKHuwwat ke pujari hum mohabbat ke ghulam
dosti ka kuchh hamin se hai jahan-bhar mein bharam
mazhar-e-haq hain hamare waste dair-o-haram
hum ahinsa ke hain rasiya aashti ke hum imam
inkisari apna maslak 'ajizi apna shi'ar
doston se dosti kar ke dikha dete hain hum
dosti ke nam par KHud ko miTa dete hain hum
har takalluf aur tasanno' se hamein hota hai 'ar
na-tawanon ke hain rakshak haq-paraston ke hain das
zulm-o-istibdad ko jaD se miTa dete hain hum
dushmanon ko din hi mein tare dikha dete hain hum
hai nahifon aur za’ifon ko hamare dam se aas
kibr-o-naKHwat ki kalai moDte aae hain hum
bughz-o-nafrat ka nikalta hai hamare dam se dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.