aawazen
aa gayā vaqt yāroñ ko āvāz deñ
ziist ke jāñ-nisāroñ ko āvāz deñ
apnā sāthī vahī hai jo mazlūm hai
ġham-zadoñ dil-figāroñ ko āvāz deñ
aaj phir ham banā kar chaleñ kārvāñ
aao phir rahguzāroñ ko āvāz deñ
phūñk deñ phir ragoñ meñ harārat na.ī
zindagī ke sharāroñ ko āvāz deñ
ham ko tūfāñ Dubo de ye āsāñ nahīñ
sāthiyo ab kināroñ ko āvāz deñ
aaj phir ham añdhere ko lalkār deñ
aaj phir chāñd-tāroñ ko āvāz deñ
tā-ba-ke zindagī ho ḳhizāñ hī ḳhizāñ
kyoñ na ab ham bahāroñ ko āvāz deñ
rāste manzileñ muntazir haiñ sabhī
ziist ke shahsavāroñ ko āvāz deñ
sub.h-e-nau kī taraf chal paḌeñ baḌh chaleñ
sub.h-e-nau kī bahāroñ ko āvāz deñ
aa gaya waqt yaron ko aawaz den
zist ke jaan-nisaron ko aawaz den
apna sathi wahi hai jo mazlum hai
gham-zadon dil-figaron ko aawaz den
aaj phir hum bana kar chalen karwan
aao phir rahguzaron ko aawaz den
phunk den phir ragon mein hararat nai
zindagi ke shararon ko aawaz den
hum ko tufan Dubo de ye aasan nahin
sathiyo ab kinaron ko aawaz den
aaj phir hum andhere ko lalkar den
aaj phir chand-taron ko aawaz den
ta-ba-ke zindagi ho KHizan hi KHizan
kyon na ab hum bahaaron ko aawaz den
raste manzilen muntazir hain sabhi
zist ke shahsawaron ko aawaz den
subh-e-nau ki taraf chal paDen baDh chalen
subh-e-nau ki bahaaron ko aawaz den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.