aawazen
aflāk ke tāroñ meñ jaltī bujhtī huī kuchh āvāzeñ haiñ
kohsār ke phūloñ meñ bikhrī bahkī huī kuchh āvāzeñ haiñ
hai mausam-e-gul kī aamad se ashkāl-e-chaman meñ tabdīlī
yā murġh-e-sahar kī gulshan meñ badlī huī kuchh āvāzeñ haiñ
zardār kī har āvāz meñ hai biphrī huī sūrat kā naqsha
mazdūr nahīf-o-bechāre sahmī huī kuchh āvāzeñ haiñ
āvāz jise ham kahte haiñ tahrīk hai ye kuchh shakloñ kī
ham jin ko samajhte haiñ shakleñ Thahrī huī kuchh āvāzeñ haiñ
vo giit hameñ jo yaad rahe dekhī huī sūrat hai koī
mānūs haiñ jo shakleñ ham se jaanī huī kuchh āvāzeñ haiñ
ilhād ke kuchh mai-ḳhvāroñ ne pī lī hai ziyāda hī shāyad
atrāf-e-dayār-e-maġhrib se bahkī huī kuchh āvāzeñ haiñ
ai 'zeb' khavayyā hī apne haiñ un kī luġhat se nā-vāqif
har bahr se maujoñ kī sūrat uThtī huī kuchh āvāzeñ
aflak ke taron mein jalti bujhti hui kuchh aawazen hain
kohsar ke phulon mein bikhri bahki hui kuchh aawazen hain
hai mausam-e-gul ki aamad se ashkal-e-chaman mein tabdili
ya murgh-e-sahar ki gulshan mein badli hui kuchh aawazen hain
zardar ki har aawaz mein hai biphri hui surat ka naqsha
mazdur nahif-o-bechaare sahmi hui kuchh aawazen hain
aawaz jise hum kahte hain tahrik hai ye kuchh shaklon ki
hum jin ko samajhte hain shaklen Thahri hui kuchh aawazen hain
wo git hamein jo yaad rahe dekhi hui surat hai koi
manus hain jo shaklen hum se jaani hui kuchh aawazen hain
ilhad ke kuchh mai-KHwaron ne pi li hai ziyaada hi shayad
atraf-e-dayar-e-maghrib se bahki hui kuchh aawazen hain
ai 'zeb' khawayya hi apne hain un ki lughat se na-waqif
har bahr se maujon ki surat uThti hui kuchh aawazen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.