aazad-hind fauj
ai jaish-e-sarfarosh-javānān-e-ḳhush-nihād
siine pe tere kund huī teġh-e-ishtidād
ġhurbat meñ dī hai tū ne shujā.at kī ḳhuub daad
aqvām-e-dahr kartī haiñ jur.at pe terī saad
tū kāmgār ho tire dushman huuñ nā-murād
hindostāñ kī fauj-e-zafar-mauj zindabād
dariyā-o-dasht-o-koh meñ terā bigul baje
jis kī sadā se gumbad-e-gardūñ bhī guuñj uThe
maidāñ meñ maut bhī ho mujassam jo sāmne
tere dilāvaroñ ke na hoñ past hausle
ho balki un kā josh-e-amal aur bhī ziyād
hindostāñ kī fauj-e-zafar-mauj zindabād
pardes meñ jo khet rahe haiñ javāñ tire
haiñ dafn zer-e-ḳhāk ḳhazāne vahāñ tire
barmā ke jangaloñ meñ lahū ke nishāñ tire
naqsh-e-davām haiñ vo tah-e-āsmāñ tire
tā-roz-e-hashr ahl-e-vatan ko raheñge yaad
hindostāñ kī fauj-e-zafar-mauj zindabād
ġhālib thā bas-ki sāhir-e-afrang kā fusūñ
do sau baras se thā alam-e-hind sar-nigūñ
tū ne dayār-e-ġhair meñ dikhlā diyā ki yuuñ
mardān-kār karte haiñ bātil ko ġharq-e-ḳhūñ
bātil ho ḳhvāh koh-e-girāñ ḳhvāh gard-bād
hindostāñ kī fauj-e-zafar-mauj zindabād
ai jaish-e-sarfarosh-jawanan-e-KHush-nihad
sine pe tere kund hui tegh-e-ishtidad
ghurbat mein di hai tu ne shujaat ki KHub dad
aqwam-e-dahr karti hain jurat pe teri sad
tu kaamgar ho tere dushman hun na-murad
hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad
dariya-o-dasht-o-koh mein tera bigul baje
jis ki sada se gumbad-e-gardun bhi gunj uThe
maidan mein maut bhi ho mujassam jo samne
tere dilawaron ke na hon past hausle
ho balki un ka josh-e-amal aur bhi ziyaad
hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad
pardes mein jo khet rahe hain jawan tere
hain dafn zer-e-KHak KHazane wahan tere
barma ke jangalon mein lahu ke nishan tere
naqsh-e-dawam hain wo tah-e-asman tere
ta-roz-e-hashr ahl-e-watan ko rahenge yaad
hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad
ghaalib tha bas-ki sahir-e-afrang ka fusun
do sau baras se tha alam-e-hind sar-nigun
tu ne dayar-e-ghair mein dikhla diya ki yun
mardan-kar karte hain baatil ko gharq-e-KHun
baatil ho KHwah koh-e-giran KHwah gard-baad
hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.