aazadi
chauñk kar uTh baiThtī kyoñ haiñ
ye āñkheñ niiñd se
DhūñDhtī haiñ phir vahī mub.ham sā paikar
putliyoñ meñ band āñkhoñ kī jo aa kar
baiTh jaatā hai bahut hī shauq se
ḳhvāb ye kaisā hai dhuñdlāyā huā
naqsh aarī jis ke apnī sāḳht se
aañkh ke parde pe ubhre
ḳhvāb meñ janmī huī mahdūd ḳhvāboñ hī talak
kyā hayūlā hai usī kā
jo mukammal ho nahīñ paa.ī kisī bhī sarzamīñ pe
har taraf pahra kaḌā
sochne kī saarī quvvat
aur bīnā.ī hamārī
in pe kunDalī maar kar
jhūTī rivāyat kī chamak baiThī huī
laplapātī hai zabāñ
bain jaarī yā ki ik zaḳhmī hañsī hoñToñ pe hai bikhrī huī
shash-jihat hai jashn merā
aur maiñ hī qaid meñ
chaunk kar uTh baiThti kyon hain
ye aankhen nind se
DhunDhti hain phir wahi mubham sa paikar
putliyon mein band aankhon ki jo aa kar
baiTh jata hai bahut hi shauq se
KHwab ye kaisa hai dhundlaya hua
naqsh aari jis ke apni saKHt se
aankh ke parde pe ubhre
KHwab mein janmi hui mahdud KHwabon hi talak
kya hayula hai usi ka
jo mukammal ho nahin pai kisi bhi sarzamin pe
har taraf pahra kaDa
sochne ki sari quwwat
aur binai hamari
in pe kunDali mar kar
jhuTi riwayat ki chamak baiThi hui
laplapati hai zaban
bain jari ya ki ek zaKHmi hansi honTon pe hai bikhri hui
shash-jihat hai jashn mera
aur main hi qaid mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.