aazar
zehn kī pahnā.iyoñ meñ ik hasīñ taḳh.īl hai
dūr-uftāda tabassum yā sitāroñ kī chamak
āsmānoñ kī latāfat ye churā laayā hai kaun
ghaas par shabnam ho shabnam par shuāoñ kā hujūm
maryamī malbūs meñ is tarah muskāyā hai kaun
niim ke būḌhe daraḳhtoñ ke tale shāyad kabhī
ek saaya miT gayā husn-e-do-ālam kho gayā
aaj vo saaya bhī kis andāz se raqsāñ huā
ḳhuun kī har buuñd meñ tasvīr ubhrī hai koī
zindagī ko jam.a kar ke aa.ina laayā huuñ maiñ
ḳhaak meñ mil jā.ūñgā is aag meñ jal jā.ūñgā
aaj lekin apne hī shah-kār meñ Dhal jā.ūñgā
zehn ki pahnaiyon mein ek hasin taKHil hai
dur-uftada tabassum ya sitaron ki chamak
aasmanon ki latafat ye chura laya hai kaun
ghas par shabnam ho shabnam par shuaon ka hujum
maryami malbus mein is tarah muskaya hai kaun
nim ke buDhe daraKHton ke tale shayad kabhi
ek saya miT gaya husn-e-do-alam kho gaya
aaj wo saya bhi kis andaz se raqsan hua
KHun ki har bund mein taswir ubhri hai koi
zindagi ko jama kar ke aaina laya hun main
KHak mein mil jaunga is aag mein jal jaunga
aaj lekin apne hi shah-kar mein Dhal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.