aazmaish
patangoñ kī na sham-e-anjuman kī āzmā.ish hai
diloñ kā imtihāñ hai jān-o-tan kī āzmā.ish hai
musībat aa chukī hai aa rahī hai aane vaalī hai
shakeb-e-rūh kī tāb-e-badan kī āzmā.ish hai
ajal kyā jaane farq ahl-e-haram aur dair vāloñ kā
bilā tafrīq shaiḳh-o-barhaman kī āzmā.ish hai
chhalakte haiñ jigar ke ḳhuun se āñkhoñ ke paimāne
sukūn-o-sabr ke jām-e-kuhan kī āzmā.ish hai
savāl ab ḳhār-o-ḳhas yā ġhuncha-o-gul kā nahīñ hamdam
chalī teġh-e-ḳhizāñ saare chaman kī āzmā.ish hai
gale ghuTte haiñ yā phir TūTtī haiñ phāñsiyāñ dekheñ
sar-o-dosh ik taraf dār-o-rasan kī āzmā.ish hai
abhī kuchh rah ga.e haiñ taar dāmān-e-mohabbat meñ
figār insāniyat ke pairahan kī āzmā.ish hai
tamām ahl-e-zamīñ kī hamdamī kā zikr abhī se kyoñ
abhī to jazba-e-hubb-e-vatan kī āzmā.ish hai
patangon ki na sham-e-anjuman ki aazmaish hai
dilon ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai
musibat aa chuki hai aa rahi hai aane wali hai
shakeb-e-ruh ki tab-e-badan ki aazmaish hai
ajal kya jaane farq ahl-e-haram aur dair walon ka
bila tafriq shaiKH-o-barhaman ki aazmaish hai
chhalakte hain jigar ke KHun se aankhon ke paimane
sukun-o-sabr ke jam-e-kuhan ki aazmaish hai
sawal ab KHar-o-KHas ya ghuncha-o-gul ka nahin hamdam
chali tegh-e-KHizan sare chaman ki aazmaish hai
gale ghuTte hain ya phir TuTti hain phansiyan dekhen
sar-o-dosh ek taraf dar-o-rasan ki aazmaish hai
abhi kuchh rah gae hain tar daman-e-mohabbat mein
figar insaniyat ke pairahan ki aazmaish hai
tamam ahl-e-zamin ki hamdami ka zikr abhi se kyon
abhi to jazba-e-hubb-e-watan ki aazmaish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.