ab ke bichhaDna alamnak hoga
jab ḳhud shar vahm ban jaa.e
to zindagī TūT-phūT jaatī hai
haqīqat ka zahar ham
kisī kī chāhat meñ piite haiñ
jab sachchā.ī lab par laate haiñ
to maar diye jaate haiñ
judā.ī ka ziina bahut tavīl hotā hai
pul-e-sirāt kī tarah
muqaddar ka kināra nahīñ hotā
taqdīr ka shikva
haare hue sipāhī key ma.azarat hai
ham nasīb kho dene ka gila nahīñ karte
chupke se zindagī gañvā dete haiñ
kisī aahaT ke baġhair
kisī ko batlā.e baġhair
apnī umr se baḌā ishq karte haiñ
sab kuchh kho kar tujh meñ kho jaate haiñ
dil par añgāroñ kā paivand lagā lete haiñ
hoñToñ par zanjīr laTkā lete haiñ
jab koī va.ada kar ke bhī na aa.e
to muskurā kar so jaanā chāhiye
niiñd ishq se behtar hai
aur ishq va.ade se
jab koī tanhā chhoḌ kar chalā jaa.e
to dil mahtāb ke āñgan meñ
use naqsh kar lenā chāhiye
judā.ī ke sukūt-e-gum-gashta meñ
tum ne mujhe kyoñ bhulā diyā
abhī to ka.ī fasāne baaqī the
yuuñ achānak mādūm ho jaanā
kisī ko dīvāna banā detā hai
itnā vaqt bhī nahīñ hotā
ki judā.ī kā farmān sunāyā jā sake
yā maḳhdūsh ko dahlīz-e-ranjīda meñ dafn kar denā
qabl-e-ruḳhsat shab-e-mad.hosh ke bistar se
chāñdnī kī silvaTeñ miTā denā
ki is shahar kī havā.eñ bahut dāġh-dār haiñ
ab ke bichhaḌnā alamnāk hogā
ka.ī guzre sānehoñ key tarah
aao tumheñ ek nauha sunā duuñ
jo ishq key hikāyat hai
jo dāstān banegī
un bevafā dahaktī galiyoñ meñ
jab KHud shar wahm ban jae
to zindagi TuT-phuT jati hai
haqiqat ka zahar hum
kisi ki chahat mein pite hain
jab sachchai lab par late hain
to mar diye jate hain
judai ka zina bahut tawil hota hai
pul-e-siraat ki tarah
muqaddar ka kinara nahin hota
taqdir ka shikwa
haare hue sipahi key mazarat hai
hum nasib kho dene ka gila nahin karte
chupke se zindagi ganwa dete hain
kisi aahaT ke baghair
kisi ko batlae baghair
apni umr se baDa ishq karte hain
sab kuchh kho kar tujh mein kho jate hain
dil par angaron ka paiwand laga lete hain
honTon par zanjir laTka lete hain
jab koi wada kar ke bhi na aae
to muskura kar so jaana chahiye
nind ishq se behtar hai
aur ishq wade se
jab koi tanha chhoD kar chala jae
to dil mahtab ke aangan mein
use naqsh kar lena chahiye
judai ke sukut-e-gum-gashta mein
tum ne mujhe kyon bhula diya
abhi to kai fasane baqi the
yun achanak madum ho jaana
kisi ko diwana bana deta hai
itna waqt bhi nahin hota
ki judai ka farman sunaya ja sake
ya maKHdush ko dahliz-e-ranjida mein dafn kar dena
qabl-e-ruKHsat shab-e-madhosh ke bistar se
chandni ki silwaTen miTa dena
ki is shahar ki hawaen bahut dagh-dar hain
ab ke bichhaDna alamnak hoga
kai guzre sanehon key tarah
aao tumhein ek nauha suna dun
jo ishq key hikayat hai
jo dastan banegi
un bewafa dahakti galiyon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.