abhi aaina muzmahil hai
abhī
kuchh ḳharāsheñ haiñ chehre pe mere
abhī vaqt ke
saḳht nāḳhun kī yādeñ
satātī haiñ mujh ko Darātī haiñ mujh ko
miyāñ
mom ḳhvāboñ kī mere pighaltī na kaise
mirī samt sūraj uchhālā gayā thā
maiñ sho.aloñ kī daldal meñ dhañsne lagā thā
mire dast-o-pā sab jhulasne lage the
bahut shor mujh meñ uThā thā
har ik shai samā.at se ḳhālī
mujhe ghūrtī thī
nazar meñ koī rāsta hī nahīñ thā
kisī se koī vāsta hī nahīñ thā
achānak kisī ne pukārā thā mujh ko
uTho sub.h hone lagī hai
sabā baaġh meñ rañg bone lagī hai
havā ke darīche mahakne lage haiñ
manāzir fazā ke chamakne lage haiñ
magar ye sadāqat hai 'amjad'
abhī kuchh ḳharāsheñ haiñ chehre pe mere
abhī aa.ina muzmahil hai
abhī aa.ina muzmahil hai
abhi
kuchh KHarashen hain chehre pe mere
abhi waqt ke
saKHt naKHun ki yaaden
satati hain mujh ko Daraati hain mujh ko
miyan
mom KHwabon ki mere pighalti na kaise
meri samt suraj uchhaala gaya tha
main shoalon ki daldal mein dhansne laga tha
mere dast-o-pa sab jhulasne lage the
bahut shor mujh mein uTha tha
har ek shai samaat se KHali
mujhe ghurti thi
nazar mein koi rasta hi nahin tha
kisi se koi wasta hi nahin tha
achanak kisi ne pukara tha mujh ko
uTho subh hone lagi hai
saba bagh mein rang bone lagi hai
hawa ke dariche mahakne lage hain
manazir faza ke chamakne lage hain
magar ye sadaqat hai 'amjad'
abhi kuchh KHarashen hain chehre pe mere
abhi aaina muzmahil hai
abhi aaina muzmahil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.