abhi inqalab kahan hua
jo badal bhī jaa.eñ siyāsateñ baneñ millatoñ se riyāsateñ
ye to zehn kī haiñ nafāsateñ abhī inqalāb kahāñ huā
huī be-vatan ka.ī millateñ sahī fard fard ne zillateñ
ye hukūmatoñ kī haiñ illateñ abhī inqalāb kahāñ huā
vahī muflisoñ kī rivāyateñ vahī mun.imoñ kī ināyateñ
vahī kār-e-ḳhair kī ġhāyateñ abhī inqilāb kahāñ huā
vahī ba’ad-e-marg kī rāhateñ vahī zindagī kī qabāhateñ
vahī nafrateñ vahī chāhateñ abhī inqalāb kahāñ huā
na badal sakeñ jo mashīyyateñ hoñ vahī hamārī tabī.ateñ
vahī ādateñ vahī niyyateñ abhī inqalāb kahāñ huā
vahī daulateñ vahī hurmateñ vahī mehnateñ vahī ġhurbateñ
kise inqalāb kī fursateñ abhī inqalāb kahāñ huā
vahī fikr-e-'zeb' kī hiddateñ vahī zauq-e-sher kī shiddateñ
vahī vaqt vaqt kī jiddateñ abhī inqalāb kahāñ huā
jo badal bhi jaen siyasaten banen millaton se riyasaten
ye to zehn ki hain nafasaten abhi inqalab kahan hua
hui be-watan kai millaten sahi fard fard ne zillaten
ye hukumaton ki hain illaten abhi inqalab kahan hua
wahi muflison ki riwayaten wahi munimon ki inayaten
wahi kar-e-KHair ki ghayaten abhi inqilab kahan hua
wahi ba’ad-e-marg ki rahaten wahi zindagi ki qabahaten
wahi nafraten wahi chahaten abhi inqalab kahan hua
na badal saken jo mashiyyaten hon wahi hamari tabiaten
wahi aadaten wahi niyyaten abhi inqalab kahan hua
wahi daulaten wahi hurmaten wahi mehnaten wahi ghurbaten
kise inqalab ki fursaten abhi inqalab kahan hua
wahi fikr-e-'zeb' ki hiddaten wahi zauq-e-sher ki shiddaten
wahi waqt waqt ki jiddaten abhi inqalab kahan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.