abhi main ye soch hi raha tha
niyāz-mandoñ kī bhiiḌ hai ik
qatār-andar-qatār saare khaḌe hue haiñ
maiñ fāsle par huuñ sochtā huuñ
ki dast-e-ḳhālī ke is safar meñ
kamānā kyā aur gañvānā kyā hai
maiñ is maqām-e-ajīb ya.anī
'kamānā kyā aur gañvānā kyā hai'
pa jab pahuñchtā huuñ dekhtā kyā huuñ
maiñ usī dā.ere ke uupar khaḌā huā huuñ
jahāñ maiñ kal thā
jo farq aayā to sirf itnā
tab us taraf thā
ab is taraf huuñ
abhī maiñ ye soch hī rahā thā
'to zindagī kyā safar hai bas ik taraf taraf kaa'
ki aa gayā moḌ
ishāra thā mere bartaraf kā
niyaz-mandon ki bhiD hai ek
qatar-andar-qatar sare khaDe hue hain
main fasle par hun sochta hun
ki dast-e-KHali ke is safar mein
kamana kya aur ganwana kya hai
main is maqam-e-ajib yani
'kamana kya aur ganwana kya hai'
pa jab pahunchta hun dekhta kya hun
main usi daere ke upar khaDa hua hun
jahan main kal tha
jo farq aaya to sirf itna
tab us taraf tha
ab is taraf hun
abhi main ye soch hi raha tha
'to zindagi kya safar hai bas ek taraf taraf ka'
ki aa gaya moD
ishaara tha mere bartaraf ka
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 91)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.