abhi to main jawan hun
abhī to maiñ javān huuñ
javān ho to zindagī kī nabz gudgudā to do
javān ho to vaqt kī siyāhiyāñ miTā to do
ye aag lag rahī hai kyuuñ use zarā bujhā to do
abhī to maiñ javān huuñ
javān ho to āñdhiyoñ se Dar rahe ho kis liye
javān ho to be-kasī se mar rahe ho kis liye
urūs-e-nau kī tarah tum sañvar rahe ho kis liye
abhī to maiñ javān huuñ
javān ho to shīsha-o-sharāb zindagī nahīñ
javān ho to zindagī meñ sirf ik hañsī nahīñ
falak pe badliyāñ bhī haiñ falak pe chāñdnī nahīñ
abhī to maiñ javān huuñ
javān ho to ho ga.e ho zindagī pe baar kyuuñ
javān ho to dar hī se palaT ga.ī bahār kyuuñ
dimāġh hasratoñ kā hai banā huā mazār kyuuñ
abhī to maiñ javān huuñ
javān ho to zindagī se kaam le ke baḌh chalo
javān ho to hurriyat kā naam le ke baḌh chalo
dayār-e-inqalāb kā payām le ke baḌh chalo
abhi to main jawan hun
jawan ho to zindagi ki nabz gudguda to do
jawan ho to waqt ki siyahiyan miTa to do
ye aag lag rahi hai kyun use zara bujha to do
abhi to main jawan hun
jawan ho to aandhiyon se Dar rahe ho kis liye
jawan ho to be-kasi se mar rahe ho kis liye
urus-e-nau ki tarah tum sanwar rahe ho kis liye
abhi to main jawan hun
jawan ho to shisha-o-sharab zindagi nahin
jawan ho to zindagi mein sirf ek hansi nahin
falak pe badliyan bhi hain falak pe chandni nahin
abhi to main jawan hun
jawan ho to ho gae ho zindagi pe bar kyun
jawan ho to dar hi se palaT gai bahaar kyun
dimagh hasraton ka hai bana hua mazar kyun
abhi to main jawan hun
jawan ho to zindagi se kaam le ke baDh chalo
jawan ho to hurriyat ka nam le ke baDh chalo
dayar-e-inqalab ka payam le ke baDh chalo
- Book : Aina Khane (Pg. 85)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.