abhishap
hazāroñ saal biite
mirī zarḳhez dhartī ke singhāsan par
birāje devtāoñ ke sarāpe sāñvle the
magar us vaqt bhī kuchh husn kā me.aar ūñchā thā
himāla kī hasīñ beTī unheñ bhaa.ī
brindāban kī dhartī par
thiraktī nāchtī rādhā
basī thī kirshn ke dil meñ
unheñ bhī husn kī man-mohnī mūrat pasand aa.ī
magar un ko ḳhudā hote hue bhī ye ḳhabar kab thī
ki un kī aane vaalī nasl par un kā sarāpā
bahut gahrā asar hai chhoḌne vaalā
hazāroñ saal biite
magar ab bhī hamārī sāñvlī rañgat
tirā vardān ho goyā
hamārā ham-safar bhī kisī paaro
kisī rādhā kā andhā ḳhvāb
āñkhoñ meñ basā.e
liye kashkol hāthoñ meñ
phire bastī kī galiyoñ meñ
ham ab kis zo.am meñ puujā kī thālī meñ
diye rakh kar
tirī chaukhaT pe aa.eñ
sar jhukā.eñ
utāreñ aartī terī
hamāre baḳht par terā ye shyāmal rañg
ik aaseb kī sūrat musallat hai
ham ab to Dar ke maare
ā.inoñ se muñh chhupā.e phir rahe haiñ
hazaron sal bite
meri zarKHez dharti ke singhasan par
biraje dewtaon ke sarape sanwle the
magar us waqt bhi kuchh husn ka mear uncha tha
himala ki hasin beTi unhen bhai
brindaban ki dharti par
thirakti nachti radha
basi thi kirshn ke dil mein
unhen bhi husn ki man-mohni murat pasand aai
magar un ko KHuda hote hue bhi ye KHabar kab thi
ki un ki aane wali nasl par un ka sarapa
bahut gahra asar hai chhoDne wala
hazaron sal bite
magar ab bhi hamari sanwli rangat
tera wardan ho goya
hamara ham-safar bhi kisi paro
kisi radha ka andha KHwab
aankhon mein basae
liye kashkol hathon mein
phire basti ki galiyon mein
hum ab kis zoam mein puja ki thaali mein
diye rakh kar
teri chaukhaT pe aaen
sar jhukaen
utaren aarti teri
hamare baKHt par tera ye shyamal rang
ek aaseb ki surat musallat hai
hum ab to Dar ke mare
aainon se munh chhupae phir rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.