achchhi baat bhali lagti hai
dahqāñ ḳhush haiñ hariyālī par
apnī fasl kī ḳhush-hālī par
achchhī baat bhalī lagtī hai
ġhussa aatā hai gaalī par
gul kī nigrānī karne kī
zimmedārī hai maalī par
TuuT paḌe haiñ bhūke bachche
biryānī vaalī thālī par
jhūmte haiñ mastī meñ bachche
qavvāloñ kī qavvālī par
chhat par hai kavvoñ kī Tolī
bandar kī Tolī Daalī par
machchhar jāgeñ rātoñ meñ bhī
din meñ haiñ sote naalī par
paise vaale kyoñ hañste haiñ
ham muflis kī kangālī par
holī meñ ham gaa.eñ phaguvā
diip jalā.eñ dīvālī par
suufī kī nazreñ Thahrī haiñ
valiyoñ ke dar kī jaalī par
jab chorī ghar meñ hotī hai
aañch aatī hai rakhvālī par
jhuum rahe haiñ daddy mummy
bachchoñ kī ḳhush-iqbālī par
naach rahā hai bhālū dekho
chhoTe bachchoñ kī taalī par
'amjadī' kī āñkheñ nam haiñ
urdu terī bad-halī par
dahqan KHush hain hariyali par
apni fasl ki KHush-haali par
achchhi baat bhali lagti hai
ghussa aata hai gali par
gul ki nigrani karne ki
zimmedari hai mali par
TuT paDe hain bhuke bachche
biryani wali thaali par
jhumte hain masti mein bachche
qawwalon ki qawwali par
chhat par hai kawwon ki Toli
bandar ki Toli Dali par
machchhar jagen raaton mein bhi
din mein hain sote nali par
paise wale kyon hanste hain
hum muflis ki kangali par
holi mein hum gaen phaguwa
dip jalaen diwali par
sufi ki nazren Thahri hain
waliyon ke dar ki jali par
jab chori ghar mein hoti hai
aanch aati hai rakhwali par
jhum rahe hain daddy mummy
bachchon ki KHush-iqbaali par
nach raha hai bhaalu dekho
chhoTe bachchon ki tali par
'amjadi' ki aankhen nam hain
urdu teri bad-hali par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.