adhura gyan
bahut se bhed aise haiñ jinheñ merī nazar kā duur tak phailā huā dāman
abhī tak chhū nahīñ paayā
bas ik bikhrāo hai har samt ḳhāl-o-ḳhat anokhe be-jahat be-shakl
jaise sardiyoñ kī raat bārish aur kamre meñ sisakte qumqume
savād-e-zehan par ik jugnuoñ kī lahlahātī fasl kā lahrāo
samā.at kī maiñ kis manzil pe huuñ garajte bādaloñ ke lab muqaffal
diloñ kī dhaḌkanoñ kā sard āhañg musalsal be-sadā bekal
ḳhamoshī niiñd meñ hai shor ko āvāz detī hai
maiñ kis kī shakl meñ huuñ kaun huuñ mujh se merā kyā ta.alluq hai
mire ehsās meñ apnā.iyat ko ġhairiyat se kyā shikāyat hai
kyuuñ shikāyat hai
bahut se bhed aise haiñ
jinheñ merī nazar kā duur tak phailā huā dāman
abhī tak chhū nahīñ paayā
bahut se bhed aise hain jinhen meri nazar ka dur tak phaila hua daman
abhi tak chhu nahin paya
bas ek bikhrao hai har samt KHal-o-KHat anokhe be-jahat be-shakl
jaise sardiyon ki raat barish aur kamre mein sisakte qumqume
sawad-e-zehan par ek jugnuon ki lahlahati fasl ka lahrao
samaat ki main kis manzil pe hun garajte baadalon ke lab muqaffal
dilon ki dhaDkanon ka sard aahang musalsal be-sada bekal
KHamoshi nind mein hai shor ko aawaz deti hai
main kis ki shakl mein hun kaun hun mujh se mera kya talluq hai
mere ehsas mein apnaiyat ko ghairiyat se kya shikayat hai
kyun shikayat hai
bahut se bhed aise hain
jinhen meri nazar ka dur tak phaila hua daman
abhi tak chhu nahin paya
- Book : Pakistani Adab (Pg. 220)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.