adhura KHwab
shahr kaise ye ajnabī Thahrā
kaise pahchān kho ga.ī merī
ab koī jāntā nahīñ mujh ko
sochtā huuñ to kaañp jaatā huuñ
sahme sahme se haiñ dar-o-dīvār
khiḌkiyāñ dekh kar ta.ajjub se
guftugū kar rahī haiñ aapas meñ
kaun aayā hai milne barsoñ baad
kah rahī hai ye mujh se kyā añgnā.ī
pūchhtī hai kahāñ se aa.e ho
kuchh batāo to kis se milnā hai
sochtā huuñ kahūñ maiñ kyā us se
merī bātoñ ko kab ye mānegī
mere qissoñ ko jhuuT jānegī
jis se milnā thā vo nazar hī nahīñ
haa.e ab koī muntazir hī nahīñ
zehn ye sochne pe hai majbūr
vāqa.ī der ho ga.ī hai kyā
rāste meñ kahīñ rukā hī nahīñ
der kaise huī phir aane meñ
shahr kaise ye ajnabi Thahra
kaise pahchan kho gai meri
ab koi jaanta nahin mujh ko
sochta hun to kanp jata hun
sahme sahme se hain dar-o-diwar
khiDkiyan dekh kar tajjub se
guftugu kar rahi hain aapas mein
kaun aaya hai milne barson baad
kah rahi hai ye mujh se kya angnai
puchhti hai kahan se aae ho
kuchh batao to kis se milna hai
sochta hun kahun main kya us se
meri baaton ko kab ye manegi
mere qisson ko jhuT jaanegi
jis se milna tha wo nazar hi nahin
hae ab koi muntazir hi nahin
zehn ye sochne pe hai majbur
waqai der ho gai hai kya
raste mein kahin ruka hi nahin
der kaise hui phir aane mein
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 111)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.