adhure mausamon ka na-tamam qissa
ye kaun jaane
ki kal kā sūraj
nahīf jismoñ sulagtī rūhoñ pe
kaise kaise azaab laa.e
ga.ī rutoñ se javāb māñge
nazar nazar meñ sarāb laa.e
ye kaun jāne!
ye kaun maane
ki lauh-e-ehsās par ga.e mausamoñ ke jitne bhī
naqsh kanda haiñ
sab ke sab
aane vaalī saa.at ko ā.īna haiñ
jo aañkh paḌh le
to marsiya haiñ
ye kaun dekhe ye, kaun samjhe
ki sub.h-e-kāzib kī bārgāhoñ meñ sar-ba-sajda amiin chehre
kaḌī masāfat pe paañv dharne se peshtar hī
girāñ naqābeñ ulaT rahe haiñ
rah-e-riyā ko palaT rahe haiñ
ye kaun samjhe ye kaun jāne!!
ye kaun jaane
ki kal ka suraj
nahif jismon sulagti ruhon pe
kaise kaise azab lae
gai ruton se jawab mange
nazar nazar mein sarab lae
ye kaun jaane!
ye kaun mane
ki lauh-e-ehsas par gae mausamon ke jitne bhi
naqsh kanda hain
sab ke sab
aane wali saat ko aaina hain
jo aankh paDh le
to marsiya hain
ye kaun dekhe ye, kaun samjhe
ki subh-e-kazib ki bargahon mein sar-ba-sajda amin chehre
kaDi masafat pe panw dharne se peshtar hi
giran naqaben ulaT rahe hain
rah-e-riya ko palaT rahe hain
ye kaun samjhe ye kaun jaane!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.