adhuri dastan
nazhād-e-barg-o-gul
sahar kī samt jā rahī hai
ḳhvāb-kār zulmatoñ ke dasht se
hurūf
zā.iche
purāne adh-jale
khañDar imārateñ makān
un ke bhuut bhī haiñ un ke ham-safar
hujūm-e-kārvāñ sehr-zada hai
zard dā.eroñ meñ aks-rez putliyāñ
fazā ko nochtī haiñ
māñgtī haiñ ḳhūn-e-dil kā
ek ek rāhgīr se ḳhirāj
maiñ un ke saath huuñ
yā apnā rāhzan
duā kī ḳhaak bāl-o-par se
maiñ jhaTak chukā huuñ
merī raat
merī tīrgī
mujhe utārnā hai tujh ko ḳhūn-e-dil kī
mauj-e-be-karāñ ke sail-e-garm meñ
mujhe pukārnā hai us fasurda-dil
udaas ajnabī ko
mujh se jaane kab jo daf.atan bichhaḌ gayā
ye log mere ham-safar
sahar ke qurb se
hayāt-e-jāvidāñ kī mahfileñ sajā.eñge
mirī adhūrī dāstāñ sunā.eñge
nazhad-e-barg-o-gul
sahar ki samt ja rahi hai
KHwab-kar zulmaton ke dasht se
huruf
zaiche
purane adh-jale
khanDar imaraten makan
un ke bhut bhi hain un ke ham-safar
hujum-e-karwan sehr-zada hai
zard daeron mein aks-rez putliyan
faza ko nochti hain
mangti hain KHun-e-dil ka
ek ek rahgir se KHiraj
main un ke sath hun
ya apna rahzan
dua ki KHak baal-o-par se
main jhaTak chuka hun
meri raat
meri tirgi
mujhe utarna hai tujh ko KHun-e-dil ki
mauj-e-be-karan ke sail-e-garm mein
mujhe pukarna hai us fasurda-dil
udas ajnabi ko
mujh se jaane kab jo dafatan bichhaD gaya
ye log mere ham-safar
sahar ke qurb se
hayat-e-jawidan ki mahfilen sajaenge
meri adhuri dastan sunaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.