adhuri
maiñ ne jis ko ruḳhsat kiyā thā
apne hī hāthoñ se
chhe din pahle
jī ye chāhā phone to kar luuñ us ko
us kī ik āvāz to sun luuñ
phone milāyā jūñhī maiñ ne
beTī merī bolī hello
hello hī bas maiñ kar paayā
jaane kaise dil bhar aayā
TuuT gayā phir zabt kā bandhan
aañkh meñ utre bhādoñ sāvan
rote rote siskī ubhrī
mīloñ duur se beTī bolī
pāpā-jānī! rote ho tum
ashkoñ se muñh dhote ho tum
phone kā maiñ ne naatā toḌā
phir yuuñ apne-āp se bolā
jī haañ chandā rotā huuñ maiñ
ashkoñ se muñh dhotā huuñ maiñ
ro.uuñ na to aur karūñ kyā
mere bas meñ hai itnā sā
main ne jis ko ruKHsat kiya tha
apne hi hathon se
chhe din pahle
ji ye chaha phone to kar lun us ko
us ki ek aawaz to sun lun
phone milaya junhi main ne
beTi meri boli hello
hello hi bas main kar paya
jaane kaise dil bhar aaya
TuT gaya phir zabt ka bandhan
aankh mein utre bhadon sawan
rote rote siski ubhri
milon dur se beTi boli
papa-jaani! rote ho tum
ashkon se munh dhote ho tum
phone ka main ne nata toDa
phir yun apne-ap se bola
ji han chanda rota hun main
ashkon se munh dhota hun main
roun na to aur karun kya
mere bas mein hai itna sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.