aerial wiew
bhūkī āñkheñ chaurāhe par
dauḌte dauḌte thakne lagī haiñ
ukhḌī huī sāñsoñ ko le kar haañp rahī haiñ
khiltī huī ḳhvāhish kī kaliyāñ
tez havāoñ ke māthe kā jhūmar ban kar laTak rahī haiñ
mushfiq saa.e pahiyoñ ke nīche dabe paḌe haiñ
sūraj apne andhe safar par chalte chalte uub gayā hai
bojhal bojhal qadmoñ se vo apnā rasta naap rahā hai
bhūkī āñkheñ hāñpte kāñpte dauḌ rahī haiñ
dauḌte dauḌte Thokar khā kar
man-hole meñ jā paḌī haiñ
saa.eñ saa.eñ kartā sannāTā
chaurāhe par siiTī bajāte ghuum rahā hai
bhuki aankhen chaurahe par
dauDte dauDte thakne lagi hain
ukhDi hui sanson ko le kar hanp rahi hain
khilti hui KHwahish ki kaliyan
tez hawaon ke mathe ka jhumar ban kar laTak rahi hain
mushfiq sae pahiyon ke niche dabe paDe hain
suraj apne andhe safar par chalte chalte ub gaya hai
bojhal bojhal qadmon se wo apna rasta nap raha hai
bhuki aankhen hanpte kanpte dauD rahi hain
dauDte dauDte Thokar kha kar
man-hole mein ja paDi hain
saen saen karta sannaTa
chaurahe par siTi bajate ghum raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.