afimi ka qissa
ye qissa hai afīmī kā jo ik gaañv meñ rahtā thā
nasha karne kī aadat thī bahut hī bholā-bhālā thā
laḌakpan gaañv meñ guzrā javānī bhī vahīñ guzrī
siyāhat kī tamanna thī to us ne kar lī tayyārī
savere ek din ghar se ravāna ho gayā paidal
thā kachchā rāsta aur har taraf phailā huā jangal
safar maġhrib kī jānib thā vo chaltā hī rahā sīdhā
huī jab dopahar to ek bargad kā shajar dekhā
usī bargad ke saa.e meñ afīmī so gayā thak kar
maze se niiñd lī ThanDī havā meñ us ne ghanTa bhar
huā bedār to mashriq kī jānib raah lī apnī
ḳhabar us ko nahīñ thī samt us kī ho ga.ī ulTī
vo chaltā hī rahā apnī tarañg meñ aur koshish thī
pahuñch jā.ūñ kisī bastī meñ raat aane se pahle hī
ġhurūb hone lagā sūraj to apne gaañv meñ pahuñchā
magar samjhā afīmī ne maiñ agle gaañv meñ pahuñchā
jab us ne gaañv ko dekhā bahut yaksāniyat paa.ī
kahā ye gaañv lagtā hai mire dehāt kā bhaa.ī
dukāneñ aur galī kūche mujhe vaise hī lagte haiñ
vahī shakl-o-shabāhat ke yahāñ insān baste haiñ
maiñ jis bastī meñ rahtā huuñ usī kā saarā naqsha hai
mujhe puurā yaqīñ hai ye mire gaañv kā charba hai
hai merā ghar bhī aisā hī jo mere sāmne ghar hai
ye gaañv to mire dehāt kā juḌvāñ barādar hai
qadam ghar meñ rakhā to ek muhtarma nazar aa.ī
afīmī samjhā vo sūrat mirī begam kī jaisī hai
jo aurat is makāñ meñ hai mirī begam kī copy hai
huī jab baat aurat se to ye uqda khulā us par
yahī hai merā gaañv merī begam aur merā ghar
ta.ajjub thā afīmī ko safar meñ puurā din guzrā
maiñ chaltā hī rahā sīdhā to kaise is jagah pahuñchā
afīmī ne jab apnī aql ke ghoḌe ko dauḌāyā
samajh-dānī se fauran hal muamme kā nikal aaya
zamīñ kā puurā chakkar maiñ ne ik din meñ lagāyā hai
azīmushshān kartab mā-badaulat ne dikhāyā hai
zamīñ hai gol is da.ave ko sābit kar diyā maiñ ne
subūt apne safar se aaj hāsil kar liyā maiñ ne
ye qissa hai afimi ka jo ek ganw mein rahta tha
nasha karne ki aadat thi bahut hi bhola-bhaala tha
laDakpan ganw mein guzra jawani bhi wahin guzri
siyahat ki tamanna thi to us ne kar li tayyari
sawere ek din ghar se rawana ho gaya paidal
tha kachcha rasta aur har taraf phaila hua jangal
safar maghrib ki jaanib tha wo chalta hi raha sidha
hui jab dopahar to ek bargad ka shajar dekha
usi bargad ke sae mein afimi so gaya thak kar
maze se nind li ThanDi hawa mein us ne ghanTa bhar
hua bedar to mashriq ki jaanib rah li apni
KHabar us ko nahin thi samt us ki ho gai ulTi
wo chalta hi raha apni tarang mein aur koshish thi
pahunch jaun kisi basti mein raat aane se pahle hi
ghurub hone laga suraj to apne ganw mein pahuncha
magar samjha afimi ne main agle ganw mein pahuncha
jab us ne ganw ko dekha bahut yaksaniyat pai
kaha ye ganw lagta hai mere dehat ka bhai
dukanen aur gali kuche mujhe waise hi lagte hain
wahi shakl-o-shabahat ke yahan insan baste hain
main jis basti mein rahta hun usi ka sara naqsha hai
mujhe pura yaqin hai ye mere ganw ka charba hai
hai mera ghar bhi aisa hi jo mere samne ghar hai
ye ganw to mere dehat ka juDwan baradar hai
qadam ghar mein rakha to ek muhtarma nazar aai
afimi samjha wo surat meri begam ki jaisi hai
jo aurat is makan mein hai meri begam ki copy hai
hui jab baat aurat se to ye uqda khula us par
yahi hai mera ganw meri begam aur mera ghar
tajjub tha afimi ko safar mein pura din guzra
main chalta hi raha sidha to kaise is jagah pahuncha
afimi ne jab apni aql ke ghoDe ko dauDaya
samajh-dani se fauran hal muamme ka nikal aaya
zamin ka pura chakkar main ne ek din mein lagaya hai
azimushshan kartab ma-badaulat ne dikhaya hai
zamin hai gol is dawe ko sabit kar diya main ne
subut apne safar se aaj hasil kar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.