aflak gunge hain
magar ye aarzū kab thī
ki ham aflāk ke farmān kī suulī pe jā laTkeñ
to āḳhir kis liye vaqt-o-makāñ kī ghāTiyāñ utreñ
banā kar marqadoñ ko dar-e-adam ke āsmāñ kī ḳhaak chhānīñ
aur phir jīvan ke mausam ko asīrī kā kafan oḌheñ
magar in sab savāloñ ke javāboñ se bahut pahle
nayā din sūrajoñ par baiTh kar
khiḌkī ke raste ḳhvāb-zāroñ meñ utartā hai
ham apne tōth-brush muñh meñ liye aur toliye ko haath meñ thāme
phir ik jabr-e-musalsal ke liye tayyār hote haiñ
ghaḌī ke saaz par calendaroñ ke safhe kitne haiñ
magar ye aarzu kab thi
ki hum aflak ke farman ki suli pe ja laTken
to aaKHir kis liye waqt-o-makan ki ghaTiyan utren
bana kar marqadon ko dar-e-adam ke aasman ki KHak chhanin
aur phir jiwan ke mausam ko asiri ka kafan oDhen
magar in sab sawalon ke jawabon se bahut pahle
naya din surajon par baiTh kar
khiDki ke raste KHwab-zaron mein utarta hai
hum apne tooth-brush munh mein liye aur toliye ko hath mein thame
phir ek jabr-e-musalsal ke liye tayyar hote hain
ghaDi ke saz par calendaron ke safhe kitne hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 146)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.