agar ghanim ki zid hai
yahī ġhanīm kī zid hai to jang jaarī hai
hameñ vatan ke liye hoshiyār rahnā hai
har ik mahāz pe sargarm-e-kār rahnā hai
zamīn-e-hind ke ādarsh kī baqā ke liye
hayāt-baḳhsh mohabbat bharī fazā ke liye
charāġh-hā-e-chaman-zār-e-asia ke liye
hameñ hai apne charāġhoñ kī raushnī mahbūb
hameñ hai apne tamaddun kī dilkashī mahbūb
hameñ hai apnī ye mushtarka zindagī mahbūb
koī bhī in kī taraf aañkh uThā nahīñ saktā
hameñ kabhī koī dhoke meñ lā nahīñ saktā
yahi ghanim ki zid hai to jang jari hai
hamein watan ke liye hoshiyar rahna hai
har ek mahaz pe sargarm-e-kar rahna hai
zamin-e-hind ke aadarsh ki baqa ke liye
hayat-baKHsh mohabbat bhari faza ke liye
charagh-ha-e-chaman-zar-e-asia ke liye
hamein hai apne charaghon ki raushni mahbub
hamein hai apne tamaddun ki dilkashi mahbub
hamein hai apni ye mushtarka zindagi mahbub
koi bhi in ki taraf aankh uTha nahin sakta
hamein kabhi koi dhoke mein la nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.