agar kahin par likha hua hai
likhā huā hai
''kisī kā likkhā nahīñ rahegā''
jo harf dīmak se bach raheñge
unheñ havāoñ ne chāTnā hai
koī zabāñ ko qalam bhī kar le to kyā karegā
abhī to ham ne qalam ke hoñToñ kā kāTnā hai
na koī nuqta na harf koī
na lafz hogā na satr hogī
sutūr kyā haiñ?
is intishār-e-suḳhan meñ bainassutūr kuchh bhī nahīñ rahegā
tumhārā ijz-e-bayāñ, bayāñ kā ġhurūr kuchh bhī nahīñ rahegā
tum is ghaḌī jo sunā rahe ho
ye nazm baaqī nahīñ rahegī
ye nazm kyā hai koī takallum kī bazm baaqī nahīñ rahegī
ye lafz kāñToñ kī fasl haiñ aur
kisī ko kāñTe kashīd karne se kyā milegā
tumheñ aziyyat rah-e-suḳhan meñ mazīd karne se kyā milegā
agar kahīñ par likhā huā hai
to likh rahā huuñ
ki be-sabātī kī ḳhū baqā kī sarisht meñ hai
''kisī kā likkhā nahīñ rahegā'' to aap hadd-e-navisht meñ hai
likha hua hai
kisi ka likkha nahin rahega
jo harf dimak se bach rahenge
unhen hawaon ne chaTna hai
koi zaban ko qalam bhi kar le to kya karega
abhi to hum ne qalam ke honTon ka kaTna hai
na koi nuqta na harf koi
na lafz hoga na satr hogi
sutur kya hain?
is intishaar-e-suKHan mein bainassutur kuchh bhi nahin rahega
tumhaara ijz-e-bayan, bayan ka ghurur kuchh bhi nahin rahega
tum is ghaDi jo suna rahe ho
ye nazm baqi nahin rahegi
ye nazm kya hai koi takallum ki bazm baqi nahin rahegi
ye lafz kanTon ki fasl hain aur
kisi ko kanTe kashid karne se kya milega
tumhein aziyyat rah-e-suKHan mein mazid karne se kya milega
agar kahin par likha hua hai
to likh raha hun
ki be-sabaati ki KHu baqa ki sarisht mein hai
kisi ka likkha nahin rahega to aap hadd-e-nawisht mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.