agar mujhe zaban mile
agar mujhe zabāñ mile
to dil kī dāstāñ kahūñ
ḳhud apne chāragar se hāl-e-sa.ī-e-rā.egāñ kahūñ
kahūñ ki kyuuñ fasurdagī hai ḳhema-zan bahār meñ
dhanak ke rang kyuuñ nahīñ haiñ aks-e-shāḳh-sār meñ
vo abr ban ke tairtī haiñ kyuuñ falak ke niil meñ
ga.e dinoñ kī kashtiyāñ jo haiñ nazar kī jhiil meñ
alam-nasīb dostoñ ko kyā huā
vo sabz mausamoñ ke ḳhvāb kyā hue
vo surḳh titliyāñ kahāñ ga.iiñ
maiñ sab kahūñ
maiñ sach kahūñ
maiñ saarī dāstāñ kahūñ agar mujhe zabāñ mile
agar mujhe zabāñ mile
batā.ūñ saare dard jin ko pairahan milā na harf-o-saut kā
sunā.ūñ sab kahāniyāñ
vo shaam shaam rañgatoñ kī an-kahī kahāniyāñ
bayāñ karūñ vo qurbateñ jo dil hī dil meñ rah ga.iiñ
vo dhuup dhuup chāhateñ
jo lafz bhī na ban sakīñ
jo ashk ban ke bah ga.iiñ
agar mujhe zabāñ mile
agar mujhe zabāñ mile
to irtiqā kī sab hadoñ ko toḌ duuñ
masīh-o-krishn sarmad-o-husain ke tamām raaz khol duuñ
azal abad ko joḌ duuñ
kahūñ azal azal na thā
kahūñ abad abad nahīñ
ki us kī ibtidā na thī
ki is kī intihā nahīñ
ye roz-o-shab kā silsila to koī silsila nahīñ
ye parda-e-ḳhayāl hai
magar ye silsila bhī mere nutq-o-lab ke bas meñ ho
ye merī dastaras meñ ho
agar mujhe zabāñ mile
agar mujhe zaban mile
to dil ki dastan kahun
KHud apne chaaragar se haal-e-sai-e-raegan kahun
kahun ki kyun fasurdagi hai KHema-zan bahaar mein
dhanak ke rang kyun nahin hain aks-e-shaKH-sar mein
wo abr ban ke tairti hain kyun falak ke nil mein
gae dinon ki kashtiyan jo hain nazar ki jhil mein
alam-nasib doston ko kya hua
wo sabz mausamon ke KHwab kya hue
wo surKH titliyan kahan gain
main sab kahun
main sach kahun
main sari dastan kahun agar mujhe zaban mile
agar mujhe zaban mile
bataun sare dard jin ko pairahan mila na harf-o-saut ka
sunaun sab kahaniyan
wo sham sham rangaton ki an-kahi kahaniyan
bayan karun wo qurbaten jo dil hi dil mein rah gain
wo dhup dhup chahaten
jo lafz bhi na ban sakin
jo ashk ban ke bah gain
agar mujhe zaban mile
agar mujhe zaban mile
to irtiqa ki sab hadon ko toD dun
masih-o-krishn sarmad-o-husain ke tamam raaz khol dun
azal abad ko joD dun
kahun azal azal na tha
kahun abad abad nahin
ki us ki ibtida na thi
ki is ki intiha nahin
ye roz-o-shab ka silsila to koi silsila nahin
ye parda-e-KHayal hai
magar ye silsila bhi mere nutq-o-lab ke bas mein ho
ye meri dastaras mein ho
agar mujhe zaban mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.