agar tum farz kar lo
agar tum farz kar lo
tum mere kār-e-nashāt-o-vasl kā yaktā zarīya ho
tumhāre husn kī pur-pech galiyoñ kā
maiñ ik tanhā musāfir huuñ
hameñ har roz
mashq-e-vasl ke haijān se ho kar
na.ī manzil ko paanā hai
na.ī mastī kā ik sailāb laanā hai
aur us sailāb meñ saare jahāñ ko Duub jaanā hai
maiñ vāqif huuñ ki ye mumkin nahīñ lekin
agar tum farz kar lo
agar tum farz kar lo
tum mere kar-e-nashat-o-wasl ka yakta zariya ho
tumhaare husn ki pur-pech galiyon ka
main ek tanha musafir hun
hamein har roz
mashq-e-wasl ke haijaan se ho kar
nai manzil ko pana hai
nai masti ka ek sailab lana hai
aur us sailab mein sare jahan ko Dub jaana hai
main waqif hun ki ye mumkin nahin lekin
agar tum farz kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.