agar wo chahe to lauT aae
agar vo mausam-mizāj tum ko kahīñ mile to ye us se kahnā ki lauT aa.e
use payām-e-bahār de kar bas itnā kahnā ḳhizāñ kā mausam guzar chukā hai
use batānā vo bad-nasībī kā ek kāñTā kabhī jo talve meñ chubh gayā thā nikal chukā hai
ki vaqt karvaT badal chukā hai
malūl-o-bojhal udaas shāmeñ bhī ab tabassum se āshnā haiñ
vo muzmahil aur ḳhamosh rāteñ bhī ab takallum se āshnā haiñ
use batānā ki zindagī ik yaqīn hai ab gumāñ nahīñ hai
ki aaj sham.oñ kī raqs kartī huī lavoñ meñ sunahre ḳhvāboñ kī raushnī hai dhuāñ nahīñ hai
kabhī sadā.eñ bhī be-navā thiiñ aur ab ḳhamoshī bhī ik suḳhan hai
qabā pe din kī hai koī dhabba na shab kā dāman hī pur-shikan hai
use batānā
ki zard mausam guzar gayā hai
magar use tum ye mat batānā ki jis meñ hijrat likhī thī us ne
vo ek lamha
dil-o-nazar meñ Thahar gayā hai
agar wo mausam-mizaj tum ko kahin mile to ye us se kahna ki lauT aae
use payam-e-bahaar de kar bas itna kahna KHizan ka mausam guzar chuka hai
use batana wo bad-nasibi ka ek kanTa kabhi jo talwe mein chubh gaya tha nikal chuka hai
ki waqt karwaT badal chuka hai
malul-o-bojhal udas shamen bhi ab tabassum se aashna hain
wo muzmahil aur KHamosh raaten bhi ab takallum se aashna hain
use batana ki zindagi ek yaqin hai ab guman nahin hai
ki aaj shamon ki raqs karti hui lawon mein sunahre KHwabon ki raushni hai dhuan nahin hai
kabhi sadaen bhi be-nawa thin aur ab KHamoshi bhi ek suKHan hai
qaba pe din ki hai koi dhabba na shab ka daman hi pur-shikan hai
use batana
ki zard mausam guzar gaya hai
magar use tum ye mat batana ki jis mein hijrat likhi thi us ne
wo ek lamha
dil-o-nazar mein Thahar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.