agar wo chahe
use bāzār pasand hai
aur mujhe ghar
bāzār kī kashish use apnī taraf khīñchtī hai
mere dil meñ tamannā.eñ murjhāne lagtī hai
maiñ use khonā nahīñ chāhtā
use raunaq pasand hai
aur mujhe tanhā.ī
maiñ dil meñ saarā jahān dekh letā huuñ
use saare jahān meñ
ek dil hī nazar nahīñ aatā
dil kī saarī raunaq us ke dam se hai
agar vo chāhe
dil meñ bāzār lagāyā jā saktā hai
use bazar pasand hai
aur mujhe ghar
bazar ki kashish use apni taraf khinchti hai
mere dil mein tamannaen murjhane lagti hai
main use khona nahin chahta
use raunaq pasand hai
aur mujhe tanhai
main dil mein sara jahan dekh leta hun
use sare jahan mein
ek dil hi nazar nahin aata
dil ki sari raunaq us ke dam se hai
agar wo chahe
dil mein bazar lagaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.