bastī par shab-ḳhūn paḌā thā
raat ko dariyā ḳhuub chaḌhā thā
jab maiñ niklā
ghar se tanhā
apne dukh kā bojh uThā.e
buġhcha bāñdhe
ik roTī
chaqmāq kā patthar
ik mashkīza
TuuTā ḳhanjar
nāzuk sarkañDoñ kī naav
lahroñ lahroñ mujh ko le kar
saat samundar paar ga.ī thī
bah niklā thā
vaqt kā dhārā
ek nayā ghar
saath hamārā
yādoñ kā pushtāra
jaane kitne mausam guzre
phir ik shab ko maiñ ne dekhā
ik dum-dār sitāra
sub.h huī to
guuñj rahā thā
sādhū kā iktārā
jādū-nagrī ujaḌ chukī thī
zard paḌā jaatā thā lāġhar
ujḌā bosīda sayyāra
suntā huuñ ab
paas hī jaise
kuuch kā bajtā hai naqqārā
uḌne ko tayyār hai shāyad
aluminium kā rocket
pītal kā tayyāra
maiñ apnī tanhā.ī le kar
buġhcha bāñdhe
ik roTī
chaqmāq kā patthar
ik mashkīza
TuuTā ḳhanjar
yādoñ kā pushtāra
aglī manzil duur kahīñ hai
kaale patthar kā favvāra
aglī hijrat
'ālam-e-bālā meñ aglā sayyāra
vaqt kināra
basti par shab-KHun paDa tha
raat ko dariya KHub chaDha tha
jab main nikla
ghar se tanha
apne dukh ka bojh uThae
bughcha bandhe
ek roTi
chaqmaq ka patthar
ek mashkiza
TuTa KHanjar
nazuk sarkanDon ki naw
lahron lahron mujh ko le kar
sat samundar par gai thi
bah nikla tha
waqt ka dhaara
ek naya ghar
sath hamara
yaadon ka pushtara
jaane kitne mausam guzre
phir ek shab ko main ne dekha
ek dum-dar sitara
subh hui to
gunj raha tha
sadhu ka iktara
jadu-nagri ujaD chuki thi
zard paDa jata tha laghar
ujDa bosida sayyara
sunta hun ab
pas hi jaise
kuch ka bajta hai naqqara
uDne ko tayyar hai shayad
aluminium ka rocket
pital ka tayyara
main apni tanhai le kar
bughcha bandhe
ek roTi
chaqmaq ka patthar
ek mashkiza
TuTa KHanjar
yaadon ka pushtara
agli manzil dur kahin hai
kale patthar ka fawwara
agli hijrat
'alam-e-baala mein agla sayyara
waqt kinara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.