agli rut ki namaz
maiñ chāhtī huuñ
ki aglī rut meñ milūñ jo tum se
janam janam kī thakāvatoñ ke ḳhutūt chehre se miT chuke hoñ
qadam qadam ik safar kī pichhlī alāmateñ sab guzar chukī hoñ
malāl-e-sahrā-navardī paañv ke ābloñ meñ simaT chukā ho
musāfirat kī tamām ranjish
mire masāmoñ se dhul chukī ho
kisī bhī patthar kā koī dhabba
kisī bhī chaukhaT kā koī qarzā
mirī jabīñ par rahe na larzāñ
maiñ chāhtī huuñ ki aglī rut meñ mileñ jo ham tum
damak rahā ho yuuñ merā dāman
ki tum jo chāho
namāz paḌh lo
main chahti hun
ki agli rut mein milun jo tum se
janam janam ki thakawaton ke KHutut chehre se miT chuke hon
qadam qadam ek safar ki pichhli alamaten sab guzar chuki hon
malal-e-sahra-nawardi panw ke aablon mein simaT chuka ho
musafirat ki tamam ranjish
mere masamon se dhul chuki ho
kisi bhi patthar ka koi dhabba
kisi bhi chaukhaT ka koi qarza
meri jabin par rahe na larzan
main chahti hun ki agli rut mein milen jo hum tum
damak raha ho yun mera daman
ki tum jo chaho
namaz paDh lo
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 755)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.